Attractive Blog Post Kaise Likhe : 17 Rules

How to write attractive blog post in hindi : Hellow friends, aaj mai aapko batane ja raha hu ki kaise aap blog post ko sundar aur attractive tariko se likh sakte hai. Waise to blog post likhne ke liye bahut saare rules hai par mai jo rules bataunga wah kaphi hai aapke blog post ko aatractive way me likhne ke liye. Rules ko batane se pahle mai aapko kuchh example bata deta hu.

Aapne newspaper to dekha hi hoga. Usme aapne dekha hoga ki kis tarah se news ko likhne me heading aur sub-heading ka use kiya jata hai. Newspaper me heading aur subheading ko bold aur large me likha jata hai. Newspaper me heading ko likhne ka tarika bahut hi attractive hota hai.

Blog post ko sundar aur attractive tariko se likhne ke 17 importants rules

Koi bhi aadmi sirf heading padhkar samajh jata hai ki heading ke niche likha hua baat kis chij ya event se related hoga. Adhiktar insaan newspaper me likhe hue sare event ko line by line nahi padhte hai. We newspaper me sirf unhi chijo ko padhte hai jo chig unke liye bahut important aur interesting hota hai.

Newspaper me important news ko search karne me heading aur subheading ka bahut hi importance hota hai. Newspaper ke jaisa hi aapko blog post ko design karna hai prantu newspaper me likhe hue chig ko padhne aur computer ya mobile screen par likhe hue chig ko padhne me bahut antar hota hai.

Computer ya mobile par kisi chig ko padhne ke liye scroll up and down karna parta hai. Log jaldi-jaldi interesting ya apne kaam ke chigo ko padhne ke liye scroll down karte hai. Log sirf achchhe chijo ko hi pasand karte hai.

Agar unhe aapke blog post ka design pasand nahi aayega to we aapke  post ko nahi padhege, chahe aapne kitni bhi achchhi baat ko post me kyo nahi likha ho. Agar aapke blog post ka design achchha hoja to unhe apne kaam ki chig dudhne me pareshani nahi hogi. Isliye in condition me logo ko apna post padh -wana bahut bada challenge hota hai.

design blog post like newspaper

Agar aap blog post ko achchhi tarah se design karke likhte hai to log aapke blog post ko padhne ke liye jarur aakarshit hoge. Isliye aap apne post me newspaper ke tarah hi heading aur sub -heading ka use kare aur uske baad heading ke niche content ko likhe.

Ye to maine newspaper ka example diya hai ki kis tarah isme news ko saja kar likha jata hai. Ab mai sidhe apne points par aata hu aur batana shuru karta hu attractive blog post kaise likha jata hai.

Attractive Blog Post Kaise Likhe : 17 Important Rules

1. Blog post ka ek format bana le

Blog post ko likhne se pahle aap post ka format soch le. Achchhi tarah se soch lene ke baad us format ka notes ek copy me bana le ki kis-kis place par heading, para-graph, bullet, numbering, bold, italics, ityadi ka use karna hai.

Kis-kis place par kaun sa photo lagana hai, ye sabhi chije pahle se sochkar copy me iska notes taiyaar kar le. Copy me format bana lene ke baad ek baat phir se notes ko padhkar check kar le aur yah conform kar le ki aapne sahi-sahi likha hai. Agar kahi par galti milti hai to aap unme sudhaar kar le.

Blog post ka format bana le post likhne se pahle

2. Header aur Sub-Header Ka Use Kare

Apne post ko search engine me achchhi rank par laane me header ka bahut hi important role hai. Isliye aap heading likhne me aise words ka use kare, jo ki jaldi se search me aate hai.

Jaise ki computer,technology, making money, blog, mystery ityadi words search engine me jaldi se aate hai. Isliye heading likhne me SEO words ka use kare. Heading ko aap ek breaking news ki tarah likhe jaisa ki newspaper me likha jata hai.

3. List Ka Use Kare

List ke antargat numbering list aur bullet list aate hai. Post me jaha par numbering ya bullet ki jarurat ho waha par iska use jarur kare. Isse post dekhne me sundar lagta hai aur logo ko jaldi-jaldi main points ko number wise ya point wise padhne me aasani hoti hai.

Kyoki jo log blog ko padhte hai, we chahte hai ki jaldi se jaldi post ko padhkar apna information prapt kar le. Aise condition me jahan tak ho sake aap post ko number wise ya point wise me likhne ki koshish kare.

4. Punctuation Ka Use Kare

Punctuation ko hindi me ‘viraam chinha’ kahte hai. Commonly rup se jin punctuation ka use sentence me kiya jaata hai wah hai :-  Full Stop [.] , Comma [,] , semi colon [;] , Colon [:] , Question Mark [?] , Exclamation [!] etc.

Iske alava aur bhi kuchh punctuation hai jaise ki Inverted Comma [‘] , Hyphan [-] , Bracket ( ) , Apostrophe [`]

Sentence ko likhte samaya aap is baat ka jarur dhyaan rakhe ki aapko kahan-kahan par punctuation ka use karna hai. Isse post ki sundarta badhti hai.

5. Sentence Ko Short Paragraph Me Likhe

Post me sentence ko aap chhote-chhote paragraph me likhe. Aap apne hisab se ek paragraph me maximum 10-15 sentence ka use kare. Isse hoga yah ki aapka post dekhne me sundar lagega.

Agar pure post ko likhne me aap paragraph ka use nahi karte hai to aapka post dekhne me bhadda pan jaisa lagega aur post ko padhne wale log jaldi bore ho jayenge kyoki post ko padhne me unke aankho (eye) ko beech-beech me rest nahi milega.

Agar aapka post chhote-chhote paragraph me likha hoga to each paragraph ko padhne ke baad logo ki aankho ko thoda sa rest milega aur phir we bina bore hue next paragraph ko easily way me padhenge.

Isliye aap post me sentence ko continuously nahi likhe, beech-beech me khas interval par paragraph ka use kare.

6. Suitable Font Ka Use Kare

Font to bahut saare hai prantu unme se sabse simple serif and sans font hota hai.Yah font padhne me bahut aasaan hota hai aur logo ko is tarah ka font padhne me koi pareshani nahi hoti hai. Isliye aap serif ya sans font ka use post likhne me kare.

7. Suitable Font Size Ka Use Kare

Post ko likhne me aap normal font size ka use kare. Kabhi bhi post ko likhne me small font ka use nahi kare. Isse logo ko aapka post padhne me pareshani hogi kyoki small font size ke character ko padhne me logo ke aankho par jyada asar padega aur phir we aapke post ko padhna pasand nahi karege.

8. Bold Ka Use Nahi Kare

Bold ka use heading aur sub-heading likhne me kare. Bold ka use saare post ko likhne me nahi kare, isse aapka post clumsy jaisa lagega.

Bold ka use aap important sentence ko highlight karne me kare. Isse logo ki najar aasani se us important sentence par padegi aur we us chig ko padhege. Is tarah se aap logo ko aakarshit kar sakte hai.

9. Underline Ka Use Kare

Underline ka use sub-heading ko underline karne me kare, jis place par uski jarurat ho.

10. Italic Ka Use Nahi Kare

Ho sake to sentence ko likhne me italic ka use nahi kare kyoki italic sentence ko hamari aankhe (eye) comfortable rup se padh nahi paati hai jabki simple font wale sentence ko jaldi-jaldi asani se padh leti hai.

Isliye ho sake to aap bahut kam maatra me italic ka use kare ya phir nahi kare.

11. Capital Letter Ka Use Nahi Kare

Capital letter ka use sirf proper noun ke pahle aur koi bhi sentence ke starting me kare.

Iske Alave capital letter ka use post me kahin par bhi nahi kare.

12. Suitable Background Colour Ka Use Kare

Adhiktar blogger white background par black text ka use karte hai. Aur black bacground par white text ka use karte hai. Isliye apne hisab se aapko jaisa background pasand aaye, waisa background ka use aap kare.

Kuki sabhi logo ki choice alag-alag hoti hai. Mai to aapko white background par black text ka use karne ke liye suggest karunga kyoki jyada deeply colour ka background achchha nahi hota hai.

13. White Space Ka Use Kare

Pura post ekdam bhara hua nahi hona chahiye. Post me blank white space bhi hona chahiye taaki padhne waale logo ke aankho ko time to time rest milta rahe.

14. Attractive Photo Ka Use Kare

Blog post me attractive aur high quality photo ka use kare. Kam se kam post 3-4 photo ko jarur daale. Agar aap ek bhi photo ko nahi lagate hai to samajhye ki 50℅ log aapke blog par aakar bhi aapke post ko padhna pasand nahi karenge, chahe aapne kitna bhi achchha post ko kyo nahi likha ho.

Isliye aap post me photo ko jarur daale. Photo ko direct google search se download karke nahi dale. Photo ko free stock image sites jaise ki Pixabay se download karke daale. Aap logo ko photo ke dawara samjhane ki kosis kare. Kuki log likhi hue baato ke compare me photo dekhkar jaldi samajh jaate hai.

15. Colour Ka Use Kare

Important words ko denote karne ke liye colour ka use kare. Agar aapko kuch importans sentence ko likhna hai to usme aap colour ka use kar sakte hai. Agar aapko post me warning se related sentence likhne ho to red colour ka use kare.

16. Post Ko Ek Story Ki Tarah Likhe

Aapne book me koi bhi story to padha hi hoga. Usme aapna dekha hoga ki sabse pahle kahani ka introduction diya jaata hai uske basd jo-jo ghatna hoti hai, usko likha jaata hai aur last me phir conclusion diya jaata hai. Aapko bhi blog post ko isi format me likhna hai.

17. Post Ko Ek Bar Check Kar Le

Puri post likhne ke baad last me post ko ek baar check karle ki kahi par bhi koi words galat to nahi hai ya phir kahi par koi words miss to nahi ho gaya hai.

Agar koi words ka spelling galti ho to aap unhe thik kar le .Ya phir post ko padhne ke baad aapko aisa lagta hai ki kahin par koi words ya sentence add hona chahiye to aap unhe likh le.

Also Read :

Maine aapko attractive blog post likhne ke 17 important rules bataya. Aur bhi bahut saare rules hai. Prantu jo importants tha usko maine is post ke through bataya.

Ummid hai ki aapko yah post pasand aaya hoga. Blog se related koi sawal ho to comment kare. Agar yah post pasand aaya ho to ise facebook, twitter jaise social sites par share kare.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *