Blog Ke Liye Privacy Policy Page Kaise Banaye

How to create privacy policy page for blog or website in hindi : Aaj mai aapko batane jaa raha hu ki privacy policy page kya hai aur ise banana kya jaruri hai. Agar aap online ya offline koi business start karne jaa rahe hai to aapke paas apne blog ya website ke liye privacy policy page ka hona bahut jaruri hai.

Agar aap ek blogger hai to aapne ek baat notice ki hogi ki sabhi professional blogger ke paas apna ek privacy policy page hota hai.

privacy policy page blog ya website ke liye kaise banaye

Privacy Policy Page Kya Hai ?

Privacy policy page ek aisa page hota hai jisko sabhi professional blogger apne blog me lagate hai. Is page me blogger ki site ke bare kuchh jankari hoti hai.

Yah page reader ya visitor ko batlati hai ki blogger apne site par kya-kya information ko share karte hai aur we kin-kin advertisement ka use karte hai.

Privacy policy hamare site ko cookies se protect karti hai. Matlab yah ki agar koi visitor aapke privacy policy ke rules ko follow kiye bina koi galat comment karta hai to aap uske comment ko delete kar sakte hai.

Privacy Policy Page Banana Kyo Jaruri Hai ?

Google Terms and Condition ke anusaar aapke blog ka ek privacy policy page ka hona bahut jaruri hai kyoki agar aap apne blog par google adsense ke ads ko lagana chahte hai to uske liye aapko privacy policy page ko banana padega.

Agar aap bina privacy policy page ko banaye Google adsense ke liye apply karte hai to google ki team aapke apply kiye gaye request ko accept nahi karegi aur aapke blog ka privacy policy page nahi hone ki wajah se disapprove kar degi.

Aur bhi bahut saari aisi company hai jo ki kisi bhi blog ke privacy policy page ko check karti hai.

Blog Ya Website Ke Liye Privacy Policy Page Kaise Banaye ?

Privacy Policy Page ko app chahe to khud se bhi bana sakte hai agar aapko privacy policy ke baare me knowledge ho to. Agar aapko privacy policy page ko banana nahi aata hai to aap is page ko third party ke website ke help se bana sakte hai.

Waise to is tarah ka bahut saare third party ke website hai jiski madad se aap apne blog ke liye privacy policy page bana sakte hai. Mai aapko ek aise third party ka naam batlata hu jiski help se aap easy way me privacy page ko bana lege.

Privacy page ko banane ke liye aapko is third party ke website par register bhi nahi karna padega. Website ka naam hai PrivacyPolicyOnline. Ab mai aapko batane ja raha hu ki kaise aap is website ke help se privacy policy page ko bana sakte hai. Aap mere steps ko follow kare :-

Step 1 : Sabse pahle aap privacypolicyonline ki site par visit kare.

Step 2 : Ab ek form open hoga.

  1. Your Site Title me apne blog ka naam likhe.
  2. Your Site URL me apne blog ya website ka URL name likhe.
  3. Contact Link me aap apen contact page ka link daale ya phir khali rahne de.
  4. Email address ke option me apna email daale.
  5. Email Encryption ke option me No Encryption ko select rahne de.
  6. Cookies option me Yes ko select rahne de.
  7. Advertisers on your site ke option me Google Adsense par tick kare. Agar aap apne site par aur bhi advertiser ka use karna chahte hai ya phir karte hai to us option ko select kare.
  8. Lastly Generate Policy par click kare.
newfeatureblog.com create privacy policy page for blog from privacypolicyonline.com

Step 3 : Generate Policy par click karne ke baad ek page open hoga usme aapke blog ka privacy policy hoga.

Pure page ko copy kar le. Ab copy kiye hue privacy policy ko aapko apne blog ya website me add karna hai.

newfeatureblog.com privacy policy page copy

Privacy Policy page Ko Blog Me Kaise Add Kare ?

Privacy Policy Page ko blog me add karne ke liye aapko ek page create karni hogi aur usme copy kiye hue privacy policy ko paste karke publish karni padegi.

Step 1 : Sabse pahle aap blogger ke dashboard me jaaye. Uske baad

  1. Pages par click kare.
  2. New page par click kare.
newfeatureblog.com privacy setting

Step 2 : Ab page editor open hoga.

  1. Sabse pahle title me Privacy Policy likhe.
  2. Privacy policy ko aapne jo copy kiya tha usko body me paste kar de.
  3. Publish par click kare.
newfeatureblog.com privacy policy page ko paste kar de

Ab aapka privacy policy page ban gaya hai. Ab is page ko aap ya to menu me add kare ya phir footer me add kare. Is page ko footer me add karne ka short tarika batlata hu.

Blogger dashboard >> layout >> footer waala Add a Gadget >> pages >> Tick privacy policy >> save

Ab aap new browser me apne blog post ko open karke check kijiye ki footer me privacy policy page add hua hai yaa nahi.

Privacy Policy Page kaise banaye se sabandhit koi sawal ho to mujhe comment kar ke bataye. Mai aapki problem ko dur karne ki puri koshish karuga.

Mere saath jude rahne ke liye mujhe Facebook , Twitter , google + par follow kare. Is blog ke sabhi notification ko direct apne email par pane ke liye Subscribe kare. Is post ko share kare.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *