Blogger Sitemap Ko Yandex Webmaster Tool Me Add Kaise Kare

Sabse pahle to aapke mind me sawal hoga ki sitemap kya hai aur isko Yandex Webmaster Tool me submit karna kyo jaruri hai. Short me mai aapko bata du ki Sitemap ek small file hota hai jisme aapke blog ke saare content ka URL attach hota hai.

Sitemap ko Webmaster tool me add karne ke baad yah Search Engine ko blog ke baare me batlata hai aur blog par ke saare URL ko search engine me index karne me help karta hai.

blog ke sitemap ko yandex webmaster tool me submit kaise kare

Maine pahle bhi iske baare me batlaya hai. Agar aap better tarike se detail me janna chahte hai to sabse pahle aap apne blog/website ko Google Search Console me add aur verify kare aur phir uske baad blog ke sitemap ko google search console me submit kare.

Blog Ke Sitemap Ko Yandex Webmaster Tool Me Add Kaise Kare ?

Blog ke sitemap ko Yandex Webmaster me add karne se pahle aap apne blog ya website ko Yandex Webmaster Tool me add aur verify kar le.

Step 1 : Sabse pahle aap apne blog ke sitemap ko bana le. Sitemap ko banane ke liye yah post padhe :-XML sitemap kaise banaye blog ya website ke liye.

Step 2 : Sitemap bana lene ke baad Yandex Webmaster ki site https://webmaster.yandex.com par visit kare

Step 3 :

  1. Indexing Setting par click kare.
  2. Sitemap Files par click kare.
click on sitemaps file

Step 4 : Sitemap files par click karne ke baad ek new page open hoga jisme aapko apne blogger sitemap URL ko likh kar add karna hai.

  1. Apne blog ke sitemap URL ko likhe. For example http://newfeatureblog.blogspot.com/sitemap.xml https://newfeatureblog.blogspot.com/sitemap.xml http://www.newfeatureblog.com/sitemap.xml
    https://www.newfeatureblog.com/sitemap.xml
  2. Correct URL likhne ke baad Add par click kare.
blog URL likhe aur add par click kare

Aapne successfully blog ke sitemap ko Yandex Webmaster me submit kar diya hai. Baad me  aap Tools >> Sitemap Validator me jaakar dekh sakte hai ki aapke sitemap koi errors to nahi hai.

you can check error in sitemap validatort

Aap screenshot me dekh sakte hai ki mere sitmap file ka size aur number of links diya hua hai. Isme no error found bata raha hai. Is tarah se aap apne sitemap ke errors ko check kar sakte hai.

Kuchh dino ke baad aapke blog ka post Yandex Search Engine me Show hona start ho jaayega. Aap Yandex Search Engine ki site www.yandex.com par visit karke apen blog ko search kar sakte hai.

Aapko mera yah post kaisa laga comment me bataye. Blogger sitemap ko Yandex Webmaster Tool me submit karne me koi bhi problem aati hai to mujhe comment kare.

Agar aapko yah post pasand aaya ho to ise apne dosto ke saath social media par share kare. NewFeatureBlog ke sabhi new post ki notification apne email par pane ke liye mujhe Subscribe kare.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

2 Comments

  1. Hello Sir Muje Ek Help Chahiye Meri eK Website Hai freehindihelp Us Me mujhe visiter badhana hai to koi tips ho to batao.Me Blog me naya hu pls help me. Post ke liye best keywords kaise praprt kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *