वेबसाइट या ब्लॉग फ्री में कैसे बनाये : Create Free Blog in Hindi – Is post me aapko bataunga ki free me website ya blog kaise banaye. Blog ek free hosting seva hai Jo ki google ki hi ek service hai. Iski madad se aap jab tak chahe tab tak domain name aur hosting seva free me milegi.
Jab tak aap free domain ka use karege tab tak domain name ke saath “blogspot.com” laga rahega.
Jab aap domain name ka use buy karke karege tab domain name se blogspot remove ho jayega aur uske baad aapka blog puri tarah se website me convert ho jayega. Mai is chig ko ek example dekar samjhata hu.
Example :- Starting me maine blogger.com par ek free blog banaya aur mere blog ka URL tha newfeatureblog.blogspot.com
baad me URL se blogspot ko remove karne ke liye custom domain name GoDaddy se kharida aur apne blog ko website me convert kar liya. Ab mere website ka URL hai newfeatureblog.com
Read Also :
- Website के लिए Domain Name कैसे खरीदे या Register करें ?
- BlogSpot Blog में Custom Domain (.com) Name कैसे Add करे ?
Ab hum baat karte hai free hosting Ka. Free hosting seva me aap blog ka 1 post 1 MB se jada nahi likh sakte hai . Isme space Ka limitation hota hai. Prantu paid hosting me aapko jyada space post likhne ko milega.
Hosting par hi hamare blog ya website ka sara data online store hota hai. Blogger par hosting ki suvidha free hai. Baad me aap apne blog ko WodPress par transfer karke apna khud ka hosting kharid sakte hai.
Blog Ka Uses Kya Hai ?
Amitabh bachchan, Aamir khan jaise filmi sitare aur Americi rastrapati Barak Obama tak sabhi blog likhne ke shaukeen hai. Iske alawa sabhi website aur newspapers ke bhi apne apne blogs hai, jaha par log apne vicharo (Ideas) ko share karte hai.
Blog ek jariya hai apne vichar, apni baat, apne emotions dusro tak pahuchane ka. Aapke dost use padhkar us par apne comment bhi likh sakte hai. Aur aap us comment ka jabab bhi de sakte hai.
Simple sabdo me aap blog ko ek dairy or online dairy maan sakte hai aur usme har roj ke likhe hue baato ko aap ‘post‘ maan sakte hai. Blog ko aap aisee dairy maan sakte hai jisme likhe hue aapke baato ko duniya ka har aadmi online internet ke dawara padh sakta hai.
Blog likhne waalo Ki sankhya badhti jaa rahi hai. Blog me post ko likhne waale ko Blogger kahte hai. Blogger ab blog me photo aur video ko bhi daal sakte hai. Blog ek mini website ki tarah hai, jiske free domain name ko maintain karne ke liye paise bhi nahi chukane padte hai.
Ulte aap blog se earning bhi kar sakte hai. Google AdSense ek suvidha deta hai, jisse aap apne blog par uske vigyapan (advertisement) laga sakte hai. Aur aapko advertisement ke har click par uska kimat milta hai.
Blog Ki Shruwat Sabse Pahle Kisne Ki ?
Blogspot ki shruwaat sabse pahle 1999 me ek hosting tool ke rup me Payara Laibs ne kiya tha. 2003 me ise Google ne kharid liya aur tabhi se yah Internet par sabse famous free hosting website bani hue hai.
Heme lagta hai ki ab aap samajh gaye hoge ki blog kya hai Agar nahi samajhe hai to comment karke puchh sakte hai. Ab hum jaante hai ki free me blog kaise banaye.
- Blog के सभी Post के नीचे Author Box कैसे Add करें ?
- Blogger Post में दूसरी Post का Link कैसे Add करे ?
Blog banane ke liye kya-kya chije honi chahiye ?
Aapko website banane ke liye :-
- Gmail Account
- Computer/Laptop
ki jarurat padegi.
वेबसाइट या ब्लॉग फ्री में कैसे बनाये : Create Free Blog in Hindi
Website/Blog banane ke liye aap mere steps ko achchhi tarah se follow kare :-
Step 1
Sabse pahle aap blogger.com par visit kare.
Step 2
Uske baad aap apna gmail Id aur password daalkar sign in ki button par click kijiye.
Agar aapke pass gmail Account nahi hai to sabse pahle aap apna gmail Account bana lijiye. Gmail Account banane ke liye niche diye hue post padhiye.
Step 3
Sign in ki button par click karne ke baad ek new page open hoga, jaisa ki niche picture me dikhaya gaya hai. Us page me New Blog ki button par click kijiye.
Step 4
New Blog ki button par click karne ke baad ek new page open hoga. New page me aapko Title, Address ko fillip karke template ko choose karna hai aur last me create blog ki button par click karna hai.
New page me aapko kya-kya bharna hai mai aapko detail me batlata hu.
- Title : Title me aapko apna blog ka naam likhe. Jaise ki mere blog ka naam New Feature Blog hai.
- Address : Address me aapko aisa naam likhna hai ki is address se kisi ne bhi blog nahi banaya ho. Agar is address se kisi ne bhi blog nahi banaya hoga to address me wah naam Accept kar lega aur address ke niche show karega “This blog address is available“.
- Template : Niche diye hue template me jo bhi Template aapko pasand ho unhe aap select kare. Mai aapko suggest karuga ki dynamic views template Ko chhor kar koi bhi template choose kare. Aap baad me achchha template laga sakte hai.
- Create Blog ! : Last me aap create blog ki button par click Kare .
Cogratulation ! aapka blog bankar ready ho gaya.
Note :- Abhi jo aapne blog banaya hai, blog ke URL me blogspot laga hua rahega. Agar aapko apna blog ko Google me search karna hoga to aapko “Xyz.blogspot.com” likhkar search karna hoga. Aap baad me blogspot.com ko remove karke apne blog ko puri tarah se website me convert kar sakte hai.
- Blog banane ke baad new post kaise likhe aur publish kare
- Blog post ko sundar aur attractive tariko se likhne ke 17 importants rules
- Google Search Console Me Blog Ya Site Ko Add Aur Verify Kaise Kare
Ummid karta hu ki aapko yah post pasand aaya hoga. Free me website ya blog kaise banaye se sambandhit sawal ho to mujhe comment kar ke puchh sakte hai.
Isi tarah ka post (create free blog in hindi) padhte rahne ke liye subscribe kare. Agar yah post aapko pasand aaya ho to ise facebook, twitter, par share kare.
blogger se achha wordpress hai but wordpress me money invest karna padta hai.
Nice post brother, I have been surfing online more than 3 hours today, yet I never found
any interesting article like yours. It is pretty worth
enough for me. In my view, if all web owners and bloggers made good content
as you did, the internet will be much more useful than ever before.
There is certainly a lot to know about this issue.
I love all of the points you’ve made. I am sure this post
has touched all the internet viewers, its really really good post on building up new weblog.