Facebook Like Box Ko Blog Me Kaise Add Kare

How to add facebook like box in blog : Agar aap ek blogger hai to aapko apne blog me facebook like box ko blog me lagana bahut hi jaruri hai. Facebook like box ko facebook fan box bhi kaha jaata hai. Aisa shayad hi koi blogger hoga joki fb like box ka use nahi karta hoga.

Agar aap new blogger hai aur agar aapne abhi tak fb like box ko blog par nahi lagaya hai to aapko laga lena chahiye. Isse aapke blog ki traffic badhne ka chance hota hai.

facebook like box ko blog me kaise add kare

Facebook Like Box Kya Hai ?

Facebook like box ek aisa plugin hai jiske through blog par aaye visitors aapke FB fan page ko apne facebook account ke through directly like kar sakte hai.

Visitors ko aapke fan page ko like karne ke liye aapke facebook page par nahi jaana padta hai balki blog par se hi facebook like box ke through aapke FB page ko like kar sakte hai.

We directly aapke blog par se hi facebook like box ke like button par click karke fan page ko like kar sakte hai. Is like box me apke page ko like karne walo ka face aur unka number bhi show hoga.

Facebook Like Box Ko Blog Me Add Karna Kyo Jaruri Hai ?

Jab koi new visitor aapke blog par visit karke aapke blog post ko padhenge aur unhe aapka post bahut hi pasand aayega to we aapke blog par lagaye gaye facebook page ko jarur like karege.

Agar aapke blog par bahut saare likes mile hoge to isse aapke blog ki image badhegi aur saath hi saath itne sare likes ko dekhkar new visitor ko aapke blog ke prati viswas ho jayega ki aapka blog bahut hi famous hai aur phir baad me bhi we aapke blog par visit karna pasand karege.

Fb like box ko blog me lagane ka baad aapka fb page Google search me bhi show hoga. Facebook like box ko apne blog par lagane se pahle aapke blog ke naam se facebook par page bana hua hona chahiye.

Agar aapne abhi tak facebook page nahi banaya hai to facebook page create karne ke liye yah post padhe : Facebook Fan Page kaise banaye blog or site ke liye ?

Facebook Like Box Kaise Banaye ?

Facebook like box ko create karna bahut hi easy hai. Aap mere steps ko achchhi tarah se follow kare :-

Step 1

Sabse pahle facebook account me login karke apne Facebook Fan/Like Page ko open kare. Ab sabse upar address bar se apne facebook page ke URL ko copy kar le.

Step 2

Ab  https://developers.facebook.com/docs/plugins/page-plugin ke page par visit kare.

Step 3

Copy kiye hue URL ko Facebook page URL field me paste kar de. Jaisa ki screenshot me hai.

Write facebook page url


Note :- Yadi aap apne facebook page ke timeline ko show nahi karna chahte hai to Tabs section se timeline ko remove kar de.

  • Facebook like box ke width, height ko apne hisab se change kar skate hai, width aur height section me.
  • Iske alave use small header, hide cover photo, show friend’s faces section me bhi apne hisab se setting kar skate hai.

Step 4

Sabhi setting karne ke baad apne Facebook like box ke look ko dekh le. Agar is look se satisfied hai to phir Get Code par click kare.

Step 5

Ab, aapke saamne ek new window open hogi jisme two code ka option hoga : JavaScript SDK and IFrame. Is tutorial me hum log IFrame code ka use karege.

Copy iframe code
  1. IFrame par click kare.
  2. Code ko copy kar le.

Ab is code ko blogger me add karna hai.

Facebook Fan Page Ko Blog Me Kaise Add Kare ?

Step 1

Sabse pahle aap apne blogger account me login karke blog ke dashboard par jaaye.

Step 2

Blogger ke dashboard me jaakar layout par click kare.

Click on layout

Step 3

Blog post me jis place par aapko facebook like box lagana hai us place ke Add a Gadget par click kare.

click on add a gadget

Step 4

Ab ek popup page open hoga. Us page me HTML / Javascript par click kare.

Click on HTML javascript

Step 5

Iske baad ek new page open hoga.

  1. Title me facebook like box ke naam se  title de ya phir khaali rahne de.
  2. Is box me aapko IFrame ke code ko paste karna hai.
  3. Code ko paste karne ke baad Save ki button par click kare.
Paste IFrame code in box


Ab aapka facebook like box/fan box aapke blog me add ho gaya hai. Check karne ke liye apne blog ka URL dalkar browser me search kare.

I hope ki aapko yah post pasand aaya hoga. Agar aapko facebook like box ko blog me add karne me kahi par bhi problem aati hai to mujhe comment kar ke bataye.

Is blog ke sabhi new post ko direct apne email par pane ke liye Subscribe kare. Agar aapko yah post pasand aaya ho to ise like aur share karna na bhule.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *