Mobile Phone Ki Battery Life Kaise Increase Kare : 12 Tips

Aaj mai aapko kuchh tips batane ja raha hu jis se aap apne mobile phone ki battery life ko increase kar sakte hai. Jyadatar mobile phone users ka problem hota hai ki unke phone ki battery turant discharge ho jaati hai. Iske bahut saare karan ho sakte hai.

Mai aapko tips batanunga jisko follow karke aap apne phone ke turant discharge hone ke problem ko solve kar sakte hai aur aapka phone ki battery life bhi badh jayegi.

how to increase mobile phone battery life : 12 tips

To chaliye ab hum jaante hai ki kaise mobile phone ki battery life ko increase kar sakte hai.

Read Also :

Android Phone Ki Battery Life Ko Kaise Badhaye ?

Mobile phone ke battery life ko increase karne ke bahut se tarike hai prantu mai aapko 12 tips bata raha hu jis se aap apne phone ki battery life ko badha sakte hai.

1. Screen Brightness Ko Dim Rakhe Ya Auto Brightness Ka Use Kare

Apne phone ke brightness ko kam rakhe. Bahut se users apne smartphone ke display ko colourful and highlight rakhne ke liye brightness ko ekdam full badha kar rakhte hai.

Adhik brightness se battery bahut consume hota hai. Isliye mai aapko suggest karunga ki aap screen brightness ko pura low rakhe.

Bahut se phone me auto brightness ka feature hota hai jo ki jarurat ke anusar apne aap brightness ko increase and decrease kar deta hai. Aap is feature ko enable karke battery consumption ko decrease kar sakte hai.

Apne phone ke Setting >> Display >> Brightness me jakar phone ke brightness ko kam kar sakte hai.

dim screen brightness

2. Phone Ke Screen Timeout Ko Minimum Rakhe

Time interval ko set karne ke baad aapka phone ka display automatically turn off ho jaayega. Battery life increase karne ke liye jitna possible ho utna kam display ke time interval ko rakhe. Yadi screen ka display jaldi turn off nahi hota hai to iske timout ko setting me jaakar kam kar sakte hai.

Bahut se android phone me screen display ka timeout minimum 15 second hota hai. Yadi abhi aapke screen ka timeout 2 minutes set hai to aap isko reduce karke 30 second ya is se or bhi kam kar sakte hai.

Timeout ko reduce karne ke baad agar aap apne phone par set kiye hue time interval tak agar koi work nahi karte hai to screen display automaticaaly turn off ho jaayega.

Screen timeout ko aap Setting >> Display >> Sleep me jakar kam kar short kar sakte hai.

minimize screen light timeout

3. Bluetooth And Wi-Fi Ko Turn Off Kare

Ek phone se other phone me data ko share karne ke liye bluetooth and Wi-Fi ka use karte hai. Isko ON karne ke baad battery ke consume hone ka rate increase ho jata hai.

Jab aap kisi dusre smartphone se apne phone me internet ko chalane ke liye Wi-Fi ko ON karte hai to isme or bhi adhik battery consume (discharge) hota hai.

Isliye bluetooth and Wi-Fi ka use karne ke baad isko turn off kar de warna aapka battery bahut hai jaldi low ho jayega.

4. Adhik Battey Consume Karne Waale App Ko Remove Kare

Aapke android phone me bahut se Apps install hoge. Sabhi App alag alag battery power ko consume karte hai. Aap Setting >> Battery ke option me jakar dekh sakte hai ki kon sa App kitna battery consume karta hai. Adhik battery consume karne wale App ko aap remove kar sakte hai.

remove app which consume more battery

5. Unnecessary App Ko Stop Kar De

Android phone me bahut se aisa faltu App hote hai jo ki background me hamesha run karte rahte hai. Iske karan RAM aur battery dono ka consume bahut adhik hota hai.

Isliye is tarah ke faltu app ko stop kar de jiska use aap currently nahi kar rahe ho.

Unnecessary app ko stop karne ke liye Setting >> App >> Running App me jakar jis App ko stop karna chahte hai uspar click karke stop kare.

stop unnecessary app

6. Sabhi App Ko Ek Saath Open Na Kare

Bahut se android user App ko open karne ke baad properly close nahi karte hai balki usko minimize karke new app ko open kar lete hai.

Is se jitne bhi minimize kiya hua app hota hai wah background me run karta rahta hai aur internal memory ko consume karne ke saath-saath adhik battery ko bhi consume karta hai.

Isliye app ko minimize nahi kare balki proper rup se close kar de aur phir uske baad hi new app ko open kare is se battery ka consumption adhik nahi hoga.

Aur ek baat ka dhyan rakhe ki bahut user aise hote hai jo ki minimize kiye hue app ko swipe karke hata dete hai aur sochte hai ki wah app close ho gaya hai prantu app proper rup se close nahi hota hai wah background me run hote rahta hai.

Jab tak aap back karke App se exit nahi hoge tab tak background me wah run karte rahega.

Aap setting >> app >> running app me jakar run kar rahe app ko dekh sakte hai.

7. Battery Ko Overcharge  Na Kare

Jab aap apne phone ko charge me lagate hai to is baat par dhyan dena chahiye ki battery over charge na ho. Bahut se log aise hote hai jo ki phone ko charge me lagakar chhor dete hai. We is baat par dhyan nahi dete hai ki phone me charge full hua hai ki nahi.

100 % battery charge hone ke baad bhi usi tarah se phone ko charge me laga hua rahne dete hai. Is se aapka phone ka battery life decrease kar sakta hai. Isliye charge complete hone ke baad charger ko phone se remove kar le.

8. Battey Puri Tarah Low Hone Se Pahle Charge Kare

Agar aapko apne mobile phone ke battery life ko badhana hai to battery ko puri tarah se discharge hone se pahle charge kare. Bahut se users low battery me bhi apne phone par work karte rahte hai.

Low battery me phone par work karne se battery life decrease kar sakti hai. Isliye battery level 20-30% par aane se pahle hi phone ko charge kare.

9. Battery Ko Turant-Turant Charge Na Kare

Bahut se smartphone users turant-turant battery ko charge karta hai. Aisa adhiktar waise users karte hai jo ki internet par adhik time tak lage rahte hai. Internet data ke ON rahne par battery bahut adhik consume hoti hai.

Agar continue mobile me lage rahte hai to is se battery lagbhag 2 hour me discharge ho jaati hai. Battery discharge hone ke baad 1 day me hi baar-baar cahrge me lagana aapke battery life ko decrease kar sakti hai.

10. Original Charger Se Phone Charge Kare

Apne phone ko original charger se hi charge kare matlab phone ko usi charger se charge kare jo ki phone ko buy karte samay diya gaya tha. Aapke mobile ke saath jo compnay ka charger diya gaya hai us se charge karna thik rahega.

Agar kisi other company ya phir kisi local charger se charge karte hai to is se battery ka life kam ho sakta hai.

11. Phone Ko Heat Hone Se Protect Kare

Adhik samaya tak mobile par internet ka use karte rahne ya phir other work karte rahne ke karan phone bahut adhik heat ho jata hai. Mobile ko adhik heat hone se bachaye. Adhik heat na ho iske liye aap phone par continue work karne ke time ko kam kar sakte hai.

Mobile phone ko adhik heat wale place par na rakhe. Aapko apne phone ko cool rakhna hai nahi to phir iska battery life decrease kar sakta hai.

12. Phone Ko Switch Off Kar Rest De

Apne phone ko kam se kam 1-2 hour switch off rakh kar iske battery life ko badha sakte hai. Switch off karne ke baad saare apps run karna band kar deta hai aur faltu ke data bhi delete ho jaate hai.

Jis tarah se insaan ko apne life ko badhane ke liye sleep (rest) karna jaruri hai thik usi tarah phone ke battey life increase karne ke liye phone ko bhi rest dena jaruri hai. Iske liye night me sleep karte waqt apne phone ko switch off kar ke rakh sakte hai.

Read Also :

To friends ye raha 12 tips jis se mobile phone ki battery life ko increase kar sakte hai. 

Agar aapko yah post pasand aaya ho to ise social media par share kare. Mere post direct apne email par paane ke liye mujhe subscribe kare.

Aap mujhe facebook par follow kar sakte hai.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *