Blog par new post kaise likhe or publish kare ?

Hellow friends, aaj mai is post me batane ja raha hu ki blog me new post kaise likhte hai. Aapne BlogSpot par free me blog to bana hi liya hoga. Blog banane ke baad baat aati hai ki blog par new post kaise likhe aur phir publish kare ?

Is post me mai aapko iske bare me hi bataunga.

blog par new post kaise likhe or publish kare

New post ko likhne se pahle yah baat jaan lena jaruri hai ki :-

  • Aap jo post likhe wah copyright nahi ho matlab kisi dusre blog ya website se copy nahi kiya hua ho.
  • Aap jo post likhege uske baare me aapko puri achchhi tarah se jankari ho.
  • Post ko likhne se pahle copy me notes prepare kar le aur sure kar le ki post ka design kaisa hona chahiye.
  • Post kam se kam 300-400 words ka hona chahiye.
  • Photo ko direct google se search karke nahi lagaye, nahi to wah copy kiya hua photo hoga.
  • Aap apne blog par image ya photo ko Pixabay jaise sites se download karke laga sakte hai.

Also Read :

Blog Par New Post Kaise Likhe ?

  1. Sabse pahle aap browser me blogger.com likhkar search kijiye ya phir www.blogger.com par click kijiye.
  2. Uske baad Emai aur Password dalkar sign in ki button par click kijiye.
  3. Ab aapke saamne blogger ka dashboard open hoga.
  4. Dashboard me aapko ek pencil jaisa icon show hoga. Aap new post ko  2 tarike se likh sakte hai :-
  • ya to aap pencil icon par click kijiye.
Click-on-pencils-icon-to-write-post
  • ya phir New post ki button par click kijiye.
create new post on blog

Dono me se kisi ek par click karne ke baad post editor open hoga. Post editor me aapko bahut sare icon najar aayege. In sabhi icon ki madad se hum new post ko likhege.

write post title post content and publish post on blog

In sabhi icon ke use ke bare me baad me mai post likhuga.

1. Post ka title likhe

Sabse pahle aap post ka title likhe post title me. Post ka title aapke post se related hona chahiye. Title aisa hona chahiye ki aapke post ko padhne wale visitors, sirf title ko padhkar samajh jaye ki aapka post kis chij se related hai.

Aapka heading ek dam breaking news ki tarah hona chahiye, taaki adhik se adhik visitor aapke post ko padhe aur aapke blog par aaye.

2. Khali wale part me post likhna hai

Khali hisse me aapko apna post likhna hai. Mai aapko attractive post likhne ke liye kuchh tips batlata hu kuki visitors unhi ke blog ya website par adhik aate hai jinki post ka likhawat achchhi aur dekhne me attractive lage.

Ab hum jaante hai ki kis tarah se hum sundar likhawat likh kar visitor ko aakarshit kar sakte hai.

Heading ko sundar tarike se likhe : Heading ko likhne me bold, italic, underline ka use kare aur saath me aap heading ko colourful tarike se bhi likh sakte hai.

Attractive photo daale : Visitor ko apni taraph aakarshit karne ke liye beautiful photo ka hona bahut hi jaruri hai. Aap kitna bhi sundar tarike se post ko likh le prantu agar aapne post me photo nahi dala hai to visitor aapke post ko pasand nahi karege aur dubara phir aapke blog ya website par visit karna pasand nahi karege.

Isliye aap post me kam se kam 1-2 photo jarur daale. Photo aapke post se related hi hona chahiye taaki visitors ko aapka post samajhne me dikkat nahi ho. Photo ko direct google se search karke nahi daale kuki wah copy kiya hua photo hoga. Aap photo ko Free Stock Photo se download karke hi post me daale.

Sentence ko chhote-chhote paragraph me likhe : Sentence ko aap chhote-chhote paragraph me likhe. Isse aapka post dikhne bahut sundar lagega aur visitor ko aapka post padhne me bhi aasani hogi.

Blod, italic, underline aur colour ka use kare : Post ko likhne me aap bold, italic, underline aur colour ka use kare, isse post ki sundarta badhti hai. Sentence me jo jo words important hai usme aap colour ka use kare.

Ek paragraph likhne ke baad agar aap dusra paragraph new topic se start karna chahte hai to aap us paragraph ke topic ka headline likhne me blold, italic ya underline ka use kare phir uske baad us topic se related jo likhna hai likhe.

Bullet aur numbering ka use kare : Post ko likhne me beech-beech me bullet aur numbering ka use kare. Important sentence ko numbering ya pointwise likhe. Isse visitor ko aapka post padhne me aasani hogi.

3. Post likhne ke baad publish button par click kare

Ye to maine short me bata diya ki aapko post kis tarah se likhna chahiye. Agar aap vistar se janna chahte hai ki post ko attractive tarike se kaise likhe to yah post padhe :-

I hope ki aapko yah post pasand aaya hoga. Agar kahi par bhi problem aati hai to mujhe comment kare. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye Subscribe kare.

Agar yah post aapko pasand aaya ho to ise like aur share jarur kare.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *