Google Search Console Me Blog Ya Site Ko Add Aur Verify Kaise Kare

How to add and verify blog or website in Google Search Console : Kisi bhi blogger ke liye sabse importnat baat hoti hai ki unke blog ka search me show karna. Bahut se new blogger ka sawal hota hai ki unka blog google search me kyo nahi aa raha hai to iska karan hai ki unhone apne blog ko Google Search Engine aur Google Search Console me submit nahi kiya hai.

Aap apne blog ko search console me add karke apne site ko search me aasani se laa sakte hai. Iske help se aap yah jaan sakte hai ki aapke blog par kis-kis country se visitor aate hai. Itna hi nahi aap yah bhi jajan sakte hai ki aapke blog par organic traffic kis keyword se adhik milte hai.

how to add and verify blog or site in google search console

Uske baad aap apne hisab se apne blog me  SEO keywords ko target kar apne site par traffic ko increase kar skate hai. Google Search Console me aise bahut se feature hai jo ki aapke blog ki search ranking increase karne me bahut hi help karegi.

Google Search Console me aapko sitemap ka feature milega jiske help se aap apne blog ke saare content ka sitemap banakar, iske URL ko Google Search Console me add kar sakte hai. Is se aapke blog ya site par jitne bhi content (post, pages etc.) hai wah saara ka saara URL ke rup me Google Search Engine ke record me rahta hai.

Koi bhi users jab kisi topic ko Google me search karta hai to sabse pahle google yah dekhta hai ki wah topic uske record me hai ya nahi. Agar wah topic uske record se match karta hai to turant wah homepage par show karta hai.

To aap mere kahne ka matlab samajh hi gaye hoge kis tarah se Google kisi bhi information ko search karta hai. To aap wait nahi kijiiye aur apne blog ka record Google me daal dijiye aur phir uske baad dekhiye aapka blog google search me show hone lagega.

Google Search Console Kya Hai ?

Google Search Console, google ki ek service hai. Yah free me users ko apni service provide karti hai. Isko Google Web Master Tool bhi kaha jaata hai.

20 May 2015 tak ise google web master tool ke hi naam se jaana jaata tha prantu baad me iska naam change karke google search console kar diya. Isliye aapko confuse hone ki koi jarurat nahi hai dono ek hi chij hai.

Google Search Console me aapko alga se account banane ki koi jarurat nahi hai. Aap apne gmail account se isme login kar sakte hai. Agar aapke paas Email Account nahi hai Gmail par to sabse pahle create kar le.

Search console me aapko bahut saare feature milege jo ko aapke site ki ranking ko increase karne me bahut hi help karegi. To mai iske kuchh important useful feature ke baare me discuss karta hu.

Useful Feature of Google Search Console :

  1. Aapke blog ko google search engine me laane me help karta hai.
  2. Aapke site ke crawling aur indexing ko improve karne me help karta hai.
  3. Apne site ya blog me “404 Not Found” pages ka pata laga sakte hai.
  4. Yah “404 Not Found” pages ke alava other HTML errors ko bhi detect karta hai.
  5. Aapka sites mobile friendly hai ya nahi. Aap iske dwara check kar sakte hai. Check karne ke liye console Dashboard >> Search Traffic >> Mobile Visibility par jaaye.
  6. Yah aapke sites ko hack hone se bachata hai aur malware ko detect karta hai.
  7. Aap yah pata kar sakte hai ki kis keywords se aapke site par adhik organic traffic aati hai.
  8. Agar aap apne site ke latest post ko turant Google search engine ke database me show karna chahte hai to isme ‘Fetch as Google‘ ka feature aapki help karegi.

Read Also :

Google Search Console me aur bhi bahut se other features available hai prantu maine sirf usi point ko discuss kiya hai jo ki kisi bhi blogger ke liye jaanna bahut hi jaruri hai.

Google Search Console Me Blog Ya Website Ko Add Aur Verify Kaise Kare ?

Step 1 : Sabse pahle aap Google Search Console ki site www.google.com/webmasters par visit karke Search Console par click kare.

click on search console

Step 2 : Apne Gmail ID se login kare.


gmail password daalkar google search console me login kare

Step 3 : Ab search console ka home page open hoga. Add a Property ki button par click kare.

click on add a property

Step 4 : Add a property par click karne ke baad ek popup page open hoga.

  1. Apne blog ka URL daale.
  2. Add par click kare.
apne blog ya site ka URL daale aur add button par click kare

Note : Blog ka URL kuchh is tarah se hoga.

http://newfeatureblog.blogspot.com
https://newfeatureblog.blogspot.com

Agar aapne BlogSpot blog par HTTPS ko enable kiya hai to http me “s” lagaye.

Step 5 : Ab aapke saamne ek page open hoga jisme aapke site ko verify karne ke liye five method hoge. Aap kisi ek method se apne blog/website ko verify kar sakte hai.

  1. HTML tag ke radio button par click kare.
  2. Meta Tag code ko copy kar le.
select HTML tag , copy meta code and verify

Ab meta tag code ko aapko apne blogger ke template me add karna hai aur phir verify ki button par click karna hai.

Blogger Template Me Meta Tag Add Kar Blog/ Website Ko Search Console Me Verify Kare

Step 1Blogger Account me login karke template section me jaaye aur phir Edit HTML par click kare.

first click on template and then edit HTML Step 2 : Ab jo page open hoga usme cursor ko le jakar CTRL + F key press kare. Uske baad us page ke right side corner me ek small search box open hoga, usme <head> likh kar search kare.

<head> ke niche google search console ke meta tag code ko paste kar ke template ko save kar de.

Step 3 : Code ko <head> ke niche paste karne ke baad Google search console account me jaaye aur phir Verify par click kar de.

Verify par click karne ke baad aapke saamne is tarah ka ek message show hoga.

now you get successfully verified message


Ab aap Search Console ke home page par jaaye. Aap dekhege ki aapka blog add ho gaya hoga. Agar aapke pass koi other blog bhi hai to aap usko bhi add kar sakte hai Add a Property ki button par click kar ke.

now you can see that your blog was added

Ab to aap jaan hi gaye hoge ki kaise site ko Google Webmaster Tool me add kiya jaata hai. Iske alave bhi other search engine hai jisme ki aapko apne site/blog ko verify karna bahut hi jaruri hai jaise ki Bing/Yahoo, Yandex, Alexa etc. Lekin search engine me Google sabse important hai kyo ki adhiktar sites, Google ke through hi 80% organic traffic prapt karte hai.

Read Also :

To aapko mera yah post kaisa laga. Agar aapko apne blog ko Google Search Console me add aur verify karne me koi problem aati hai to mujhe comment karke bataye.

NewFeatureBlog ke sabhi new post ki notification apne email par pane ke liye hame Subscribe kare. Agar yah post aapko pasand aaya ho to ise facebook, twitter, google plus etc., jaise social sites par share kare.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *