Is post me blog ya website ko Yandex Webmaster Tool me add aur verify kaise karte hai ke bare me bataunga.
Aapne apne blog ya site ko Google Search Console (Google Webmaster Tool) me add to kar hi diya hoga. Agar nahi kiya hai to sabse pahle aap apne blog ya website ko Google Search Console me add aur verify kar le kyoki aapko to pata hi hoga ki Google kitna famous search engine hai.
Jyadatar kisi bhi chij ke baare me search Google me hi kiya jaata hai. Yandex bhi Google ke tarah hi Russia country ka bahut hi popular Search Engine hai.
Yandex world ka 4th largest search engine hai. Yadi aap International audience ko apne blog par laane ke liye target karna chahte hai to aapko apne blog/site ko yandex me jarur add karna chahiye.
Bahut se blogger Yandex Search Engine ke importance ko ignore yah soch kar dete hai ki yah to regional search engine hai, isse utni traffic site par nahi aayegi. Prantu we apne site ko Yandex Search Engine me add nahi karke bahut badi galti kar rahe hai.
Read Also :
- Blog या Site के लिए XML Sitemap कैसे बनाये ?
- Blogger Blog को Hacker से Secure कैसे रखे : 10 Easy Steps
Agar aap apne blog par adhik se adhik traffic laane chahte hai to aapko sabhi Search Engine jaise ki Google, Bing/Yahoo, Baidu, Yandex, Alexa etc. me apne blog ya website ko add karna padega. Isse aapke blog par sabhi search engine se traffic aayegi.
Ek baar jab aap proper way me apne blog ya website ko Yandex Search Engine me optimize kar dete hai to uske baad Yandex Crawler aapke site ke web pages ko index karna start kar dega.
Jis tarah se Google ka service Google Search Console (previously known Google Webmaster Tool) me apne blog ya webstie ke sitemap ko add karte hai thik usi tarah se Yandex me bhi Yandex Webmaster Tool ka service hota hai. Is tool me sitemap files ka feature hota hai jisme jaakar ke aap blogger sitemap ke URL ko add kar sakte hai.
Blogger sitemap ko Web Master Tool me add karne se kya fayada hai, iske baare me mai pahle bhi bata chuka hun. Isliye mai post ko jyada long nahi karta hun.
Ab mai sidhe apne topic par aata hun aur batana start karta hu ki blog ko Yandex Webmaster Tool me kaise add aur verify kiya jaata hai.
Blog Ya Website Ko Yandex Webmaster Tool Me Add aur Verify Kaise Kare ?
Yandex Webmaster Tool me site ko add aur verify karne ka steps just like usi tarah se hai jaisa ki Google Web Master Tool me karte hai, bas name me antar hai par process wahi hai.
Step 1 : Sabse pahle aap Yandex Webmaster Tool ki site https://webmaster.yandex.com par visit kare. Uske baad Username aur password daalkar login kare.
Step 2 : Login karne ke baad ek page open hoga. Sabse upar drop down menu ke right side me plus (+) ke icon par click kare.
Step 3 : Plus par click karne ke baad ek new page open hoga. Usme apne site ka URL likh kar add karna hai.
- Apne blog ya Website ka correct URL likhe.
Example : http://newfeatureblog.blogspot.com
https://newfeatureblog.blogspot.com
http://www.newfeatureblog.com
https://www.newfeatureblog.com - Apne site ka correct URL likhne ke baad Add button par click kare.
Step 4 : Ab aapke saamne ek new page open hoga jisme ki meta tag code ko copy karke blogger template ke head section ke niche paste karke verify karna hai.
- Meta tag code ko copy kar le. Uske baad apne blogger account me login karke Tempalte (Theme) >> Edit HTML ko select karte hue <head> ke niche copy kiye hue code ko paste kar ke template ko Save kar de.
- Meta code ko paste karne ke baad wapas Yandex Webmaster Tool ke verification page par aakar Check par click kare.
Step 5 : Site ko verify karne ke baad aapke saamne ek page open hoga jisme username, verification type, confirmation code aur verification date hoga.
Ab aapka website successfully Yandex Webmaster Tool me add aur verify ho chuka hai. Iske baad aapko apne blog/website ke sitemap ko Yandex me submit karna hai.
- Blogger Sitemap को Yandex Webmaster Tool में Submit कैसे करे ?
- Facebook Fan Page कैसे बनाये Blog के लिए ?
I hope ki aapko yah post pasand aaya hoga. Blog ya website ko Yandex Webmaster Tool me add aur verify karne se related kuchh bhi question hi to mujhe comment kare.
Agar aapko mera yah post pasand aaya ho to is post ko apne dosto ke saath social media par share kare. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe subscribe kare.
bahut hi achcha post hain aur bhiaise hi post likhe