Android Phone Ko Factory Reset Kaise Kare

How to factory reset android phone in hindi : Isme koi bhi sak nahi ki aaj android phone puri duniya me famous ho gaya hai. Prantu isme kuchh problem bhi hai. Started me jab ham new phone ka use karte hai to isme work bahut hi achchha se hota hai prantu baad me phir yah bahut hi slow work karne lagta hai.

Battery bhi adhik waste honi lagti hai. Bahut saare App thik se kaam nahi karta hai. Phone (mobile) hang karne lagta hai aur sabsi badi problem to yah hai ki isme virus aa jaata hai. Isi tarah ka aur bhi problem create hone lagti hai.

In sabhi problem ka solution ke liye aaj mai aapko batane wala hu ki android phone  ko factory reset kaise kare ?

How to factory reset your android phone or mobile

Factory Reset Kya Hai ?

Factory reset ko hard reset bhi kaha jaata hai. Android phone me factory reset karne ke baad aapka phone me saara setting waisa hi ho jayega jaisa ki sabse pahli bar yah factory se ban kar ke aaya tha. Is process ko hi factory reset kahte hai.

Factory reset karne ke baad jitne bhi application, software, password, accounts aur koi other personal data aapke internal phone memory me hoga, wah sabhi delete ho jayega aur aapka phone new phone ki tarah fast work karne lagega.

Aapko darne ki baat nahi hai ki aapka application, software etc. delete ho jaayega. Aap iska backup lekar SD card me rakh sakte hai aur phir reset ke baad restore kar sakte hai. Factory reset me aapka sirf wahi App delete hoga jo aapne alag se install kiya hoga.

Aapka wah sabhi App safe rahega jo pahle se hi phone me tha. Factory reset karne ke baad aapka phone ekdam new jaisa ho jaayega.

Factory Reset Karni Ki Jarurat Kyo Hoti Hai ?

Android phone me jab faltu ke adhik data ya phir internet ke through virus file install ho jaate hai to hamare phone ki speed bahut hi slow ho jaati hai aur hang bhi karne lagti hai. Mobile app ka function thik se work nahi karta hai.

Smartphone bar-bar Switch Off hone lagta hai. Internet ke through phone me bekar ke kuchh aise App aane lag jaate hai jinko ki uninstall karna bahut hi muskil hota hai.

Is tarah ke condition me hame apne android mobile ko factory reset karne ki jarurat padti hai. To friends aapko samajh me aa gaya hoga ki android phone me factory reset karne ki jarurat kyo padti hai ?

Factory Reset Karne Se Pahle Kya Karna Jaruri Hai ?

Factory reset karne se pahle apne saare important data ka backup le le. Kuchh Android phone me backup ka option nahi hota hai. Isliye aapke internal memory me jitne bhi important data hai usko transfer karke SD card me lekar rakh le.

Internal memory ke data ko aap SD card (external memory) me transfer ASUS File Manager ke help se aasani se kar sakte hai. Saare data ko SD Card me backup lena bahut hi jaruri hai kyoki Reset Factory karne ke baad aapke internal memory ke saara data delete ho jaayega.

Warning :- Internal Memory se SD Card me saare important data ko transfer karne ke baad Setting >> Storage >> Unamount SD Card karke SD card ko apne phone se remove kar le. Warna Factory Reset karne ke baad aapke SD card ka saara data bhi delete ho jaayega.

Agar aap message aur contact ke number ko safe rakhna chahte hai to Sim Card ko nikal le.

Apne Android Phone Ko Factory Reset Kaise Kare ?


Step 1 : Sabse pahle setting me jaaye.

Step 2 : Setting menu me scroll down karke Backup & reset option par jaaye aur uspar click kare.

Click on backup and reset

Step 3 : Factory data reset option par click kare.

Click on factory data reset

Step 4 : Erase USB Storage me tick karke Reset tablet par click kare.

Click on reset tablet

Step 5 : Agar aapne screen lock kiya hoga to aapke samne screen lock ka password ya phir pattern lock ko unlock karne ka page open hoga. Password dalkar Next par c lick kare.

Write screen lock password

Step 6 : Erase everything par click karte hi internal memory ekdam clean ho jaayega aur aapke phone ka speed new jaisa ho jaayega. Ab aap SD card me transfer kiye hue App ko install kar sakte hai.

Click on erase everything

Read Also :

Friends aapko yah post kaisa laga apna vichar comment ke through bataye. Agar aapko Android phone ko factory reset karne se related kuchh bhi question ho to mujhe comment kare.

Mere new post ko direct apne Email par paane ke liye is blog ko Subscribe kare. Agar aapko yah post pasand aaya ho to ise facebook par share  kare.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *