How to submit blogger sitmap in Google Search Console in hindi : Maine pichhli post me aapko blog ke sitemap ko banane ke liye batlaya tha. Is post me mai aapko blog ke sitemap ko Google Search console me submit kaise kare ke bare me bataunga.
Agar aapko apne blog par ke saare page ko turant Google search engine me laana hai to blogger sitemap ko create kar ke google search console me submit karna padega.
Sitemap ko aap apne website ka ek map maan sakte hai jisme aapke site par ke sabhi content ka saara detail xml format me hota hai.
Sitemap ko banane aur isko google search console me submit karne se pahle aap apne blog ko Google Search Console me add aur verify kar le. Uske baad sitemap create kar search console me submit kar de.
Ab mai aage badhta hun aur batana start karta hu ki kaise blogger sitemap ko GWT me submit kiya jaata hai.
- Blog या Site को Yandex Webmaster Tool में Add और Verify कैसे करे ?
- Blogger Sitemap को Yandex Webmaster Tool में Add कैसे करे ?
Sitemap Kya Hai ?
Sitemap ek XML file hota hai jisme aapke blog ka saara URLs hota hai. Sitemap blog ke crawling rate ko improve karta hai aur saath hi hamera blog par jitne bhi URLs hote hai, unko search engine me index karne me help karta hai.
XML sitemap ko Google Search Console (Webmaster Tool) me submit kar dene ke baad, yah search engine crawlers ko hamare blog ya website par ke sabhi URLs ko search karne aur sabhi databse ko add karne me help karta hai.
Google Search Console Kya Hai ?
Google Search Console, Google ki ek free service hai. 20 May 2015 tak iska naam Web Master Tool tha lekin ab iska naam change karke Google Search Console kar diya gaya hai. Is tool ke help se aap apne blog ke saare content par full control rakh sakte hai.
Matlab ki aapko apne blog ke kis content (pages, post etc.) ko search engine me dikhana hai ya phir nahi dikhana hai uska setting aap kar skate hai. Search console me Robot.txt Tester ka ek feature hota hai iske help se aap yah setting kar sakte hai.
Google Search Console me bahut saare feature hai jiske help se aap apne site ko goole search me turant laa sakte hai. Iske saare feature ke baare me mai baad me post publish karunga.
Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Karna Kyo Jaruri Hai ?
Sitemap ko google search console me submit karna bahut hi jaruri hai kyoki :-
- Sitemap ko Google Search Console me submit karne ke baad, isme hum dekh sakte hai ki hamare blog ka kitna URLs submit aur index hua hai.
- Sitemap me agar koi error aati hai to us error ko hum google search console me pata laga sakte hai.
- Sitemap submit karne ke baad aap search console me dekh sakte hai ki kis keywords se aapke blog par Google search se adhik organic traffic aati hai.
Sitemap ko isme submit karne ke aur bhi bahut se fayde hai, iske baare me maine pichhli post me bataya tha.
Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare ?
Blog ke sitemap ko submit karne ke liye google ka service search console sabse best hai kyoki jyadatar user Google me hi adhik search karte hai. Waise to aur bhi search engine hai jaise ki yahoo, bing, baidu, yandex etc. prantu sabse best Google hai.
Step 1 :
- Sabse pahle aap apne blog ke liye sitemap banaye. Agar pahle se hi bana liya hai to phir se banane ki koi jarurat nahi.
- Apne blog ko google search console me add aur verify kare. Agar aapne verify kar liya hai to is step ko escape kare.
Step 2 : Google Search Console me login karke apne blog URL par click kare.
Step 3 :
- Crawl par click kare.
- Stemap par click kare.
Step 4 : Add/Test Sitemap par click kare.
Step 5 : Add/Test Sitemap par click karne ke baad ek pop up page open hogi.
- Apne blog ke URL ke saamne ke box me “sitemap.xml” likhe.
- Submit par click kare.
Step 6 : Refresh par click kare. Ab aapke blog ka sitemap Google Search Console me submit ho chuka hai.
Abhi sirf sitemap submit hua hai. Index ke saamne pending likha hua hoga. Sitemap ko index hone me kuchh time lagta hai.
Step 7 : Kuchh samaya baad aapke blog ke sitemap me jo URL hoga wah Google Search Engine me index hona start ho jaayega. Baad me aap dekh sakte hai ki aapke blog ka kitna URL index hua hai.
- Blog या Site को Google, Bing, Yahoo और Yandex Search Engine में Submit कैसे करे ?
- Facebook पर Single Name Set कैसे करे : Easy Trick
Agar aapko yah post pasand aaya ho to apne dosto ke saath is post ko social media par share kare. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe subscribe kare.
Agar blogger sitemap ko google search console me submit karne me koi bhi problem aati hai to mujhe comment kare.