Hellow friends aaj mai aapko batane ja raha hu ki blogger images ko SEO friendly kaise banaye. Hum apne blog ke post me jis image ko upload karte hai usko optimize karna ya SEO friendly banana bahut hi jaruri hai.
Bahut saare new blogger ko shayad iske bare me pata nahi hoga. Aapke mind me sawal hoga ki image ko SEO friendly banana kyo jaruri hai aur is se hamare blog ko kya fayda hoga ?
To aapko mai bata du ki agar aap apne blogger image ko optimize nahi karte hai to image Google search me jaldi nahi aayega. Blog ke sitemap ko google search console me submit karne ke baad bhi Search Engine me aapke blog ka image jaldi index nahi hoga. Iske karan aapke blog ke traffic par bad effect pad sakti hai.
- Blogger Blog Template Ko Mobile Friendly Kaise Banaye ?
- Google + Badge Ko Apna Page, Profile Or Community Ke Liye Create Kare ?
Blogger Image Ko SEO Friendy Banana Kyo Jaruri Hai ?
Image ko SEO (Search Engine Optimization) friendly banane ka matlab hai ki hamare blog ka sara image search engine me aaye. Agar aap google search image me sentence ya keywords likh kar search karege to aapko us sentence ya keywords se related saare image screen par show hoge.
Aap image ke through us blog par visit kar sakte hai jis par yah image upload kiya gaya hoga. Is tarah se koi bhi visitor aapke bog par visit kar sakte hai agar aapke blog ka image optimize kiya hua ho to.
Image ko SEO friendly banane ke liye images me alt text add karna padta hai. Alt text me image ke bare me likha jaata hai jisko likhne me SEO Keywords ka use hota hai taki image jaldi search me aaye.
Search engine post ko index karte time sabse pahle post ke saare content par focus nahi karta hai balki usme jo keywords, baclinks, tags, images etc. hote hai us par focus karta hai. Agar image optimize kiya hua nahi hoga to wah search engine me index jaldi nahi kiya jayega.
Blog par traffic sirf badhiya content likhne se nahi aati hai balki traffic ko increase karne ke liye optimize kiya hua aattractive photo ka use karna bhi bahut hi jaruri hai. Mere hisab se blog par aane wale visitor post ke content par kam aur image ki taraph jyada attract hote hai.
Blogger Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye ?
Blogger image ko optimize karne se image bahut hi jaldi search engine me aane lagega. Mai aapko kuchh tips bata raha hu jis se aap apne blogger image ko asani se SEO friendly bana sakte hai.
1. Image Ko Upload Karne Se Pahle Rename Kare
Jab aap kisi sites se image ko lekar apne system me save karte hai to us image ka naam number (2387604) me hota hai. Agar aap kisi camera se bhi photo ko khichte hai to wah bhi number me hi save hota hai.
Isliye aise image ko blog me upload karne se pahle rename kare kyoki Goolge sirf number se yah samajh nahi pata hai ki yah image kis chij se related hai.
Agar kisi image ko rename karke upload karege to google ko samajhne me koi problem nahi hogi. Jaisa ki aap photo me dekh sakte hai ki pahla image ka name number me hai aur dusra image ka name text me hai.
Second image ka name ‘Lord Shiva‘ hai. Is name se google ko samajhne me koi problem nahi hogi ki image kis chij se related hai.
2. Image Me ALT Tag and Title Text Add Kare
Image ko rename karke blog me uplaod karne ke baad isme alt tag & title text ko add kare. Yah Image ko SEO friendly banane ke liye sabse important hai.
Alt tag and title text add karne ke liye image par click kare. Image par click karte hai kuchh option show hoge. Option me se properties par click kare. Ab ek popup page open hoga.
- Title text : Isme image ka name likhe. Agar koi visitor aapke blog ya site par visit karke image par mouse ke cursor ko layega to title text me jo text hoga wah show hoga.
- Alt text : Isme image ke baare me likhe. Jaise ki aap screenshot me dekh sakte hai ki yah image “Shiv Ji” ka hai aur alt text me image ke bare me “Shiva hinduism God” likha hai. Ek baat aur alt text ko likhne me SEO keyword ka use kare.
- OK par click kare.
3. Image Me Caption Ka Use Kare
Image me caption ka use karna SEO ke liye utna jaruri to nahi hai prantu agar aap visitor ko image ke bare me samjhana chahte hai to caption ka use kare. Caption ka use se aapka website professional site ki tarah dikhega. Caption me jo bhi likhege wah image ke saath hi show hoga.
Image me caption ka use karke aap apne blog par traffic ko bhi increase kar sakte hai. Google par daily kitne hi images ko search kiya jaata hai. Inme se bahut saare image aise hote hai jinko dekh kar yah pata nahi chalta hai ki image kis chij se realted hai.
Agar image me caption ka use kiya jaata hai to visitor ko image ke baare me samajhne me aasani hogi aur image ke through hi us blog ya website par koi bhi visitor visit kar sakta hai jis site par yah image hai. Is se us blog ki traffic increase hogi.

4. Image Ko Properly Resize Kare
Image par click karne par aapko kuchh option show hoga jisme image ko change karne ke liye four option hoge : Small, Medium, Large and X-large.
Aap hamesha original size ko select kare kyoki agar kisi other option jaise ki Medium ya Large ko choose karte hai to image ka quality decrease ho jayega.

5. Image Ko Kis Format Me Use Kare
Image format ka effect website loading par padta hai. Image ka format kuchh aise hote hai jisme ki image ka size bahut adhik hota hai aur iske karan website par aise image ko loading hone me time adhik lagta hai. Is se aapke site ki loading slow ho jaati hai aur visitor slow loading site ko pasand nahi karti hai.
Image ke mainly sabse adhik hone wale format hai png, jpg, gip etc. Mai apne blog par jpg format wale image ka use karta hu jo ki bahut kam size hone ke saath badhiya quality ki bhi hoti hai. Isliye aap .jpg format ka use kare.
6. Image Ka Size Kitna Hona Chahiye
Image ka size jyada adhik nahi hona chahiye. Image ka size pixel me 650 x 350 se adhik na rakhe aur .jpg me lagbhaj 60 kb ke under hi rakhe.
7. Image Ka Name Likhne Me Space Ka Use Na Kare
Images me alt text add karne aur rename karne me space ka use nahi kare. Jaise ki agar aapka blog post Make SEO Friendly Image se related hai aur aap apne post image ko is name se hi rakhna chahte hai to name ko likhne me space ke place par “-” ya “+” ka use kare.
Example :-
- Make-SEO-Friendly-Image
- Make+SEO+Friendly+Image
- Awesome Social Media Fans Counter Widget Ko Blog Me Add Kare ?
- Disclaimer Page Kaise Banaye Blog Ke Liye Aur Yah kyo Jaruri Hai ?
To dosto aapko yah post kaisa laga. Agar blogger images ko SEO friendly banane se related aapka kuchh bhi sawal ho to mujhe comment kare.
Mere new post ko direct apne email par paane ke liye mujhe subscribe kare. Agar yah post aapke liye helpful raha ho to ise social media par share kare.
Nice post
nice artical
helpful thankyu bro good job !
Thank you so much himanshu kumar for this useful information. we like your post