How to make blogger theme mobile friendly in hindi : Yah post special rup se new bloggers ke liye hai. Blog banane ke baad new blogger ko yah pata nahi hota hai ki we apne blog ke template ko mobile friendly kaise banaye. Mobile friendly template banane ka matlab hai ki user apne blog me jis template ka use karte hai wah thik tarah se mobile device me open ho.

Agar aapke blog ka template mobile friendly nahi hoga to wah mobile me fastly and correctly open nahi hoga aur yah bhi ho sakta hai ki aapka blog mobile device me open nahi ho sirf computer device me hi open ho.
Sabhi blogger ke liye yah jaruri hai ki we apne blog ya site ke template ko mobile friendly banaye. Mobile friendly template hone se aapka website computer aur mobile dono me hi thik tarah se open hoga.
- Blogger Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye : Image Optimization Tips
- Mobile Phone Ko Hang Hone Se Kaise Bachaye : 16 Tips
Blogger Template Ko Mobile Friendly Banana Kyo Jaruri Hai ?
Sabhi blogger ke liye yah bahut hi jaruri hai ki unke blog ka template mobile-friendly ho kyo ki blog par 60% se bhi adhik traffic mobile device se hi aati hai. Agar aapka blog mobile friendly nahi hai to samajh lijiye ki aap apne blog par ke bahut saare traffic ko miss kar rahe hai.
Kyoki jitne bhi visitor aapke blog par aayege, blog ke thik tarah se aur fastly open nahi hone ke karan kisi dusre blog par visit kar jayenge aur phir se we aapke blog par aana pasand nahi karege.
Blogger Template Ko Mobile Friendly Banane Ka Kya Fayada Hai ?
- Blog ya website mobile version me thik tarah se aur fastly open hoti hai.
- Blogger post ka koi bhi part cut nahi hota hai.
- Blogger Post ke sabhi images har tarah ke size me open hoti hai.
- 60% user mobie se hi kisi blog ya site par visit karte hai. Agar template mobile friendly hoga to blog par adhiktar traffic mobile se aayege.
- Blog ka koi bhi gadget/widget hide nahi hota hai.
Blogger Template Mobile Friendly Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare ?
1. Sabse pahle mobile me apne blog ya website ko open karke dekhe ki sahi se open ho raha hai ki nahi.
2. Google ne ek tool banaye hai jisme aap apne blog ya website ke pura URL address ko dalkar check kar sakte hai ki aapka site mobile friendly hai ya nahi.
Mobile-Friendly Test Tool par click kare aur phir apne blog ka URL address dalkar apne site ke mobile freindly ko test kare.
Mobile-friendly test ke dwara aapko pata chal jayega ki aapka blog mobile friendly hai ya nahi. Agar mobile friendly nahi hai to aapko apne blog ko mobile friendly banana hoga kyoki Google Search me bhi sabse pahle wahi site aata hai jo ki mobile friendly ho.
3. Iske alave aap Ready Mobi site par visit karke bhi yah check kar sakte hai ki aapka blog ya site mobile friendly hai ya nahi. Is site par aap dekh sakte hai ki aapka blog desktop version aur mobile version me kis tarah se open hota hai.

Blogger Template Ko Mobile Friendly Kaise Banaye ?
Apne site ke template ko mobile friendly banana bahut hi simple hai bas aap mere steps ko follow kare.
Step 1 : Sabse pahle apne blogger account me login karke blogger ke dashboard me jaye.
Step 2 :
- Template (theme) par click kare.
- Mobile Version ke setting icon par click kare.

Step 3 : Ab ek popup window open hoga.
- Yes. Show mobile template on mobile devices ke option me tick kare.
- Default ke dropdown menu par click kare.
- Ab aapke samne template ka list open hoga jisme 7 template mobile version template hai. Isme se kisi ek template ko select kare.
- Seven template me se kisi bhi template ko select karne ke baad preview me dekh le ki aapka blog sahi se open ho raha hai ki nahi. Is tarah se aap sabhi 7 template ko preview par click karke check kar sakte hai.
- Agar aapko default mobile version wala template pasand nahi aata hai aur aap desktop version template ko mobile device me show karna chahte hai to “Custom” template ko select kare.
- Apne pasand ke template ko select karne ke baad Save par click kare.

Ab aapka blog ya site ka template mobile friendly ban chuka hai. Aap chahe to apne blog ko mobile device me open karke dekh sakte hai.
- Blogger Blog Ko Hackers Se Secure Kaise Rakhe : 10 Easy Tips
- Google Account Me 2 Step Verification Ko Enable Kaise Kare [For Gmail
Blogger template ko mobile friendly banane me koi problem aati hai to mujhe comment kar ke bataye. Agar yah post aapko pasand aaya ho to ise social media par share kare.
Sabhi new post ko direct apne email par pane ke liye subscribe kare.
mobile template set karneke bad ads nahi dikh rahe usake liye Kay kare
bahut achchhi jankari aapne di hai
Thank u
Nice post