Is post me BlogSpot blog address, title and description ko change karne ke liye batlaunga.
Starting me, blog banane se pahle blogger ko blogging ke bare me utni jankari nahi hoti hai. Unhe bas itna pata hota hai ki blog banakar hum usme kuchh bhi post likh sakte hai aur money earn kar sakte hai. We apni aisi thought ke karan jaise-taise kuchh bhi title aur address ke naam par blog ko create kar lete hai.
Jyadatar new blogger apne naam par hi blog ko create kar lete hai. Us time unhe yah nahi pata hota hai ki blogging journey me progress ke liye blog ka title aur address ka kitni aham bhumika hoti hai.
Baad me jab unhe is baat ka pata chalta hai to we apne blog ka title aur address ko change karna chahte hai. Prantu apne blog ka URL and title ko change karne se pahle following baato par dhyan dena bahut hi jaruri hai.
Read Also :
- Blogger Template को Mobile Friendly कैसे बनाये ?
- Blogger Blog को Hacker से Secure कैसे रखे : 10 Easy Tips
Blog Address or URL Ko Change Karne Ke Disadvantage Kya Hai ?
- Blog ka URL change karne ke baad aap apne un sabhi visitor ko lose kar denge jo aapke blog par regular visit karte honge.
- Aapke site ka page rank aur alexa ranking puri tarah se decrease kar jaayegi.
- Aapke blog par daily jitna page view hota hoga wah decrease kar jaayegi.
- Jin users ya visitors ne aapke blog post ko bookmark kiya hoga, wah post aur usme jo link hoga open nahi hoga matlab wah broken or dead link hoga.
- Apne blog post ka jitna bhi link social media jaise Facebook, Twitter, Google Plus, LinkedIn etc. par share kiya hoga, wah link work nahi karega.
- Yadi aapne kisi other blog ko present blog address se linked kiya hoga to aap wah saare link juice ko loss kar denge jo ki pahle aapko milta tha.
- Apne blog ka name change karne se aapke kuchh readers confuse ho sakte hai.
- Blog ka URL change karne ke baad aapke new site ko Search Engine ke dwara re-indexed karne ke liye aapko wait karna padega.
Aapka blog agar 2-3 month old hai aur us par agar 40-50 post hai, tabhi aap apne blog ka Address change kare warna nahi kare. Agar aapko apne blog ka address change karna bahut jaruri hai to aap in baato par dhyan de.
Blog Address And Title Change Karne Se Pahle In Baato Ko Jaan Lena Jaruri Hai :
1. Apne blog se related URL choose kare
Apne blog ka naam aur address aapke blog se related hona chahiye. Matlab aap apne blog par jis chij ke baare me jankari dete hai, usi se related aapka blog ka Address hona chahiye.Jaise ki mai apne blog par blogging se related saari jaankari deta hu to maine apne blog ka naam New Feature Blog rakha hai. Agar aap apne blog par health se related jankari dete hai to usi se related apne blog ka name choose kare.
2. Blog name short and complete ho
Aap apne blog ka naam ekdam short aur suitable rakhe aur us name me jo words ho wah SEO words hona chahiye matlab wah words Search Engine me adhik search hota ho. Jaise ki mere blog ka naam hai NewFeatureBlog. Isme three words hai jo ki SEO words hai.
Aapko jyada lamba blog URL ko nahi rakhna hai kyoki visitor utne lambe blog address ko type nahi karna chahti aur Google bhi jyada lambe waale blog address or URL ko utna preference nahi deta hai.
3. Aapke blog ka name domain se match karna chahiye
Apne blog ka naam change karne se pahle yah decide kar le ki agar aap future me jab kabhi blog ya website ke liye custom domain name buy karege to aapka custom domain name aapke blog ke Sub-Domain se match karna chahiye.
Example – Custom Domain name buy karne se pahle mere blog ka naam newfeatureblog.blogspot.com (Sub-domain) hai. Domain name buy karne ke baad blog ka name newfeatureblog.com (Custom domain ) ho jaayega.
Isse hoga yah ki agar baad me apne blog ke liye custom domain buy bhi kar lege to visitor ko aapka site/blog dudhne me pareshani nahi hogi kyoki name to wahi rahega bas Blog ke URL Address se sirf blogspot remove ho jayega. Isse aapke blog ki traffic par koi bhi effect nahi padega.
4. Sare visitors ko new blog address ke baare me inform kar de
Blog ka name aur URL change karne ke baad aap apne blog ke traffic ko puri tarah se lose kar degnge. Aapke blog ka name change hone se bahut se visitors ko problem ho sakti hai.
Isliye apne blog ko low traffic se bachane ke liye apne saare visitors ko apne new blog name and address ke baare me 1-2 month pahle se hi inform kar de. Aap yah information Google Plus, Facebook, Twitter, subscribe mail box ke dwara aur apne blog par noticeboard lagakar de sakte hai.
Blog Address or URL Change Karne Ke Baad Kya Kare ?
- Blog ka address change karne ke baad aapne jitna bhi internal link ko post me add kiya hai usko ya to remove karde ya phir edit karke correction kar le.
- Saare internal link ko remove ya edit karne ke baad Dead Link Checker ke dawara apne blog ko check kar le ki kahi koi deadlink rah to nahi gaya.
- Social media jaise facebook, google plus, twitter, linkedIn etc. jaise site par apne blog post ka jitne bhi link ko share kiye hai un sabhi ko delete kar de.
- Agar facebook par page aur group ko old blog ke naam par rakha hai to usko change kar de.
- Blogger post ka sitemap create karke Google Search Console me submit kare aur phir sitemap ke link ko apne blog me add kare.
Mujhe lagta hai ki aap itni saari baato ko padh kar bore ho rahe hoge prantu blog ke address ko change karne se pahle aapko itni saari baato ko jaan lena bahut jaruri hai. So, ab mai aapka bina time waste kiye sidhe point par aata hu.
BlogSpot Blog Address, Title Aur Description Change Kaise Kare ?
In tino chij ko change karna bahut hi easy hai bas aap mere steps ko follow kar :-.
Step 1
Sabse pahle aap apne blogger account me login karke dashboard me jaaye.
Step 2
Ab aap Setting >> Basic par click kare.
Step 3
Ab ek new page open hoga.
- Title ke saamne Edit par click karke apne blog ka name change kar skate hai.
- Description ke saamne Edit par click karke aap apne blog ke description ko change kar sakte hai. Isme aapko apne blog ke baare me batana hai aur yah SEO ke liye bahut hi jaruri hai kyoki jab koi user aapke blog ko google par search karega to yah description show hota hai.
- Blog Address ke saamne Edit par click karke apne blog ka address change kare aur Save kar de. Agar wah address available hoga to accept kar lega nahi to aapko koi dusra address daalkar dekhna hoga.
Blog ko change karne ke baad aapke blog ko Google Search Engine me show karne me 3-4 days time lag sakta hai.
Read Also :
- BlogSpot Blog पर HTTPS को Enable कैसे और क्यों करे ?
- Website के लिए Domain (.com) Name कैसे खरीदे या Register करे ?
I hope ki aapko yah post pasand aaya hoga. BlogSpot blog ka address, title and description ko change karne me koi bhi problem aati hai to mujhe comment kare.
Agar aapko mera yah post pasand aaya ho to ise facebook, twitter, google plus par share jarur kare. Is blog ke sabhi new post ki notification apne email par pane ke liye Subscribe kare.
Achhi jankari hai dost, lekin maine ek .tk domain liya hai free wala uska sitemap hi submit ni hota, kya problem hogi, jabki ek dusre blog me .in wala ek din me index ho jata hai mera content
Nice post sir thank you so much
Nice post
Sir mene apna blog address change kar diya jisse mere google search console me sara data gayab ho gya ,vh kab show kargea sir please reply jarur digiyega
Google Search Console Me Blog Ya Site ke new address Ko Add Aur Verify Kare aur sitemap banakar search console me submit kare