How to change blogger template in hindi : Is me mai aapko bataunga ki blogger blog template ko change upload kaise karte hai. Blog ko starting me jab create karte hai to us waqt simple, dynamic views, picture window, awesome inc., watermark, etheral, travel jaise template ko apne blog me lagane ka option aata hai.
Ye sabhi template bahut hi old design ke hai aur iska design bhi utna attractive nahi hota hai prantu starting me hame in sabhi me se koi ek template ko choose karna padta hai.
Prantu blog create ho jaane ke baad aap old template ko change karke apne pasand ke template ko laga sakte hai. Agar aapne abhi tak blog nahi banaya hai to sabse pahle ek blog ko create kar le. Blog ko banane ke liye yah post padhe : blog kaise banaye paisa kamane ke liye.
Blog Ke Template Ko Change Karna Kyo Jaruri Hai ?
Maine aapko pahle bhi bataya ki blog me pahle se jo template hota hai wah bahut hi old version ka hota hai aur iska design bhi achchha nahi hota hai. Blog par traffic ko increase karne me attractive template ka bahut hi important role hota hai.
Koi bhi visitor jab kisi ke blog par post padhne ke liye visit karte hai to unka najar sabse pahle blog ke design par jaata hai. Agar unhe blog ke design attractive nahi lagta hai to we direct kisi dusre ke blog par visit kar jaate hai.
Aap jitna chahe utna achchha se post likh le prantu agar aapne best template ko apne blog me nahi lagaya hai to aapke blog ki traffic increase karne me bahut hi problem ho sakti hai. Koi bhi visitor aapke blog par dubara visit karna pasand nahi karege.
Agar aapke blog ka template attractive hoga to we aapke blog par dubara jarur visit karege. Isliye blog ko create karne ke baad usme minimum 8-10 post publish karke ek achchha sa template upload kare.
Blog Ka Template Kaisa Hona Chahiye ?
Jab aap Google Search me blogger template ko search karege to aapko bahut saare template mil jayege prantu aapke blog ke liye sabse best template kaisa hona chahiye yah jaan lena bahut hi jaruri hai. Aap apne blog me usi template ka use kare jo ki Mobile Friendly, SEO Friendly aur Fast Loading ho.
1. Mobile Friendly :
Bahut saare aise template hote hai jo ki mobile me thik tarah se open nahi hoti hai. Aaj-kal jyadatar users apne mobile me hi internet ka use karte hai.
Agar aapka blog mobile me thik se open nahi hoga to is se visitor ko problem ho sakti hai aur ho sakta hai we aapke blog par dubara visit hi nahi kare.
Isliye aapka blogger template mobile friendly hona chahiye.
2. SEO Friendly :
Aapke blog ka template SEO Friendly hona chahiye. SEO ka matlab Search Engine Optimization. Agar template SEO friendly hoga to wah jaldi se Google Search Engine me search hoga.
3. Fast Loading :
Bahut se aise blog hote hai jinka open hone ka loading time bahut hi slow hota hai jiske karan visitor dusre blog par visit kar jaate hai.
So, blog par traffic ko increase karne me Fast Loading bhi ek important factor hai. Isliye aap apne blog me fast loading templat ka use kare.
Blog Ke Liye Free Template Kaha Se Download Kare ?
Blog ya website ke liye free me download karne ke liye bahut se site hai. Prantu mai aapko kuchh achchhe sites ke naam batlata hu jispar aapko free aur paid dono tarah ka template mil jayega.
Blog Ka Template Change Kaise Kare ?
Blogger template ko change karne se pahle aap jis template ko apne blog me lagana chahte hai usko Gooyaabitemplates ke site se download kar le.
Step 1 : Sabse pahle aap apne blogger account me login karke blog ke dashboard me jaaye.
Step 2 : Template (Theme) section par click kare.
Step 3 : Uske baad ek new page open hogi. Sabse right side me Backup/Restore par click kare.
Step 4 : Backup/Restore par click karne ke baad ek pop up window open hogi.
- New template ko lagane se pahle aap apne old blogger template ka backup le le taakai agar new template ko lagane me koi error aati hai to phir se aap old template ko laga sakte hai. So, aap pahle Download Template par click kare.
- Choose File par click karke apne computer se new template ke xml file ko select kare jisko ki aapne blog me lagane ke liye download kar rakhi hai.
- New tempate ke xml file ko select karne ke baad upload par click kare.
Note : Aapne jo new template ko download kiya hoga wah zip format me hoga. Prantu blogger template ko aap xml format me hi upload kar sakte hai. Zip file ko extract karne ke baad aapko xml file milega. Aap template ke xml file ko hi upload kare.
Ab aapke blog me new template add ho chuka hai. Apne blog ke kisi bhi post ko open karke dekhe. Aap dekhe ge ki aapke blog ka design change ho gaya hoga.
Ab aap template ke header, sidebar, footer etc. ko customize karke apne blog ko aur bhi sundar bana sakate hai.
- Blogger Blog Template को Mobile Friendly कैसे बनाये ?
- Blogger Image को SEO Friendly कैसे बनाये : Image Optimization
I hope ki aapko yah post pasand aaya hoga. Agar blogger template ko change karne ya upload karne me koi problem aati hai to comment kar ke bataye.
Agar yah post aapko pasand aaya ho to is post ko facebook, twitter, google + etc. par share kare. Is blog ke sabhi new post ki notification direct apne email par pane ke liye Subscribe kare.
himanshu bhai aapke site ki templete bahut acchi hai tumne konsi Templete/theme use ki hai or usme kya kya edit kiya hai please bataye..
Harmonia template
blogspot blogger mein image optimize kaise karte hai ?
Aap yah post padhe : Blogger Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye : Image Optimization Tips