Contact Form Widget Ko Blogger Me Kaise Add Kare

Contact form ke through koi bhi visitor directly blog ke admin se contact kar sakta hai. Is contact form widget ko lagane me aapko kisi bhi third party ke code ki jarurat nahi padegi. Kyoki blogger ki team ne blog me contact form widget ka ek new feature add kiya hai.

Is widget ko aap aasani se apne blog me laga sakte hai. Is widget ko aap sidebar me laga sakte hai. Isi tarah ka contact form ko separate page me bhi laga sakte hai. Contact form ko sidebar me lagane ke liye niche diye hue steps ko follow kare.

contact form widget ko blog me kaise add kare

Contact Form Widget Ko Blog Me Lagana Kyo Jaruri Hai ?

Agar koi visitor personally blog ke admin se koi sawal puchhna chahte hai to we apne sawal ko contact form ke through puchh sakte hai. Visitor ka sawal directly admin ke email inbox me send ho jayega.

Agar aap visitor ya users ke kisi bhi tarah ka suggestion, queries ya feedback chahte hai to aapko apne blog me contact form jarur lagana chahiye. Isko lagana bahut hi easy hai aur aapko is widget ko lagane me kisi third party ke code ki jarurat nahi padegi.

Contact Form Widget Blog Me Kaise Add Kare ?

Step 1 : Sabse pahle aap apne blogger ke dashboard me login kare.

Step 2 : Layout par click kare.

click on layout - newfeatureblog

Step 3 : Add a Gadget ki link par click kare.

click on add a gadget

Step 4 :

  1. Left menu me se More Gadgets ke option par click kare.
  2. Uske baad next page me Contact Form par click kare.
click on more gadget then contact form - newfeatureblog

Step 5 :

  1. Apna pasand ka title likhe.
  2. Save par click kare.
click save button - newfeatureblog

Ab aap apne blog ko check karke dekhiye, aapke blog ke sidebar me clean contact form ka widget add ho gaya hoga. Contact form is tarah ka show hoga. Niche screenshot dekhiye.

Jab visitors ya users contact form me apna Name, Email aur Message likhkar send karega to wah message blog ke admin ke email inbox me receive hoga. Admin inbox se hi us message ka reply kar sakte hai.

I hope, aapko yah post pasand aaya hoga. Contact form widget ko blog me add karne me koi problem aati hai to comment box apna question likhkar send kar de. Mai aapke problem ko dur karne ki puri koshish karunga.

NewFeatureBlog ke sabhi post ki notification ki jankari direct apne email par pane ke liye Subscribe kare. Agar aapko yah post pasand aaya ho to ise facebook, twitter jaise social media par share kare.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *