Email ID कैसे बनाये Gmail पर (Email ID Kaise Banaye Gmail Par) : Aaj ke jamane me Email Id ka hona bahut hi jaruri hai. Pahle letter ko bhejne ke liye postman ka use hota tha jisme ki letter ko pahuchne me bahut time lagta tha prantu ab technology me itna develop ho gaya hai ki ghar baithe hi letter ko email ke rup me kahi bhi bas ek click me bhej sakte hai.
Service sector, business sector, bank sector, etc. sector me Email ki jarurat padti hai. Agar aap kisi entrance exam dene ke liye form fillup karto ho ya phir koi online work ho ya kisi ko paise bhejne ho to email ki jarurat padti hai.
Email ID Kya Hai ?
Email ka full form electronic mail hota hai. Electronic mail ka matlab ho gaya ki aap Internet ke dwara ghar baithe hi kisi ke bhi email par mail kar sakte hai. Ab aapko post office jane ki koi jarurat nahi hai.
Agar aapko apne kisi friends ko letter send karna hai to aap sidhe online email ke through apne friends ko mail kar dijiye. Aapka friends country ke kisi bhi kone me ho, unhe aapka mail ek second me mil jayega.
Email Id hamara user name aur humne jis site par email banaya hai uska link se jura hota hai. Email me sabse pahle hamara user name hota hai aur uske baad @ (at the rate) se gmail.com connect hota hai.
Jaise NewFeatureBlog@gmail.com mera email Id hai. Is me mera user name Newfeatureblog hai aur uske baad @ se gmail.com connect hai .
Email Id kisi bhi site par banaya ga sakta hai jaise ki Gmail, Yahoo, Yandex etc. Is post me Gmail par apna email ID banana sikhege.
- Yandex Mail Par Email Account Kaise Banaye Free Me ?
- Website के लिए Domain Name कैसे खरीदे या Register करें
Email ID कैसे बनाये Gmail पर ?
Gmail Google ki hi ek service hai. Gmail par account banana bahut hi easy hai. Bas aap mere steps ko achchhi tarah se follow kijiye.
Step 1 : Sabse pahle aap Gmail ki site par jaye.
Step 2 : Uske baad ek page open hoga.
create account par click kare.
Step 3 : Ab ek new window open hogi, usme aapko apna sara detail bharkar Submit karna hai.
- Name : Aapko isme apna First name aur Last name likhna hai. Jaise ki mera naam Himanshu Kumar hai to mera First name ‘Himanshu‘ aur Last name ‘Kumar‘ hoga.
- Choose your username : Aapko is me user name bharna hai jo ki aapka Email Id hogi. User name aap apna naam aur numberic digit ko milakar likh sakte hai. Jaise ki maan lete hai ki aapka naam Rohan kumar hai to aap Rohan123…….. bhare ya Aap short name rk123….. bhar sakte hai aur user name ke baad @gmail.com pahle se rahega hi. Par aapko aisa user name bharna hai jo kisi dusre ke username se match nahi karta ho.
- Create a password : Ab aapko is me password dalna hai. Password ko aap number (1234….), alphabet (ABCabc…..), aur special character (@#%$) etc ko milakar bana sakte hai.
- Conform your password : Phir se wahi password dalkar conform kare.
- Birthday : Isme aapko apne date of birth Ka mahina/din/saal fillup karna hai.
- Gender : Male ya female jo bhi ho bharna hai.
- Mobile phone : Apna Mobile number dale jisko ki aap email se connect karna chahte hai.
- Your current email address : Agar pahle se koi email ID hai to usko dalna hai agar nahi hai to khali rahne de.
- Prove you’re not a robot : Isme niche tick karna hai ya phir “Type the text me uske thik upar diya hue captcha number/word ko bharna hai.
- Location : Isme aap kis country se hai wah select Kare. India select kare.
- I agree the Google Terms of Service and Privacy Policy me tick kare.
- Last me continue ki button par click kare.
Step 4 : Continue par click karne ke baad aapko account ko Verify karna hai.
Phone Number me apna mobile number dale, uske baad account ko verify karne ke liye niche two option hoga :
- Text Message (SMS)
- Voice Call
Dono me se koi ek option chune. Agar aap Text Message Choose karte hai to aapke number par ek SMS code aayega aur agar Voice Call Ka option choose karte hai to aapko ek call aayega aur usme aapko verification Code bataya jayega.
Dono me se koi ek option choose karne ke baad Continue ki button par click kijiye.
Step 5 : Aapne Jo bhi verification Ka option choose kiya hai uske through aapke mobile par ek code aayega, us Code ko aapko dalna hai.
- Mobile par aaye hue code ko daale.
- Continue ki button par click kijiye.
Step 6 : Ab Google + par profile banane Ka option aayega. Agar aapko abhi Google+ par apna profile banana hai to Create Your Profile par click kare ya fir aapko baad me banani ho to No thanks ki button par click Kare.
Step 7 : Ab aapka account ban gaya hai. Aap Get started ki button par click kare.
Step 8 : Get started ki button par click karte hi aapka account open ho jaayega. Account me google ki taraph se welcome ka ek mail aaya hoga.
Gmail me Sign In or Log Out Kaise Kare ?
Agar aapko baad me gmail account kholna hoga to aap Gmail ki site par jaye aur email, password dalkar Sign in ki button par click kijiye. Uske baad aapka gmail account open ho jaayega.
Gmail account me sign in ke baad, agar gmail account ka kaam ho Jane ke baad Sign out jarur kar de taaki baad me koi bhi aapke account ka galat use nahi kar sake.
- Google Account Me 2-Steps Verification Ko Enable Kaise Kare [For Gmail Security]
- BlogSpot Blog Kaise Banaye Paisa Kamane Ke Liye ?
Email ID कैसे बनाये Gmail पर post se sabandhit kuchh bhi problem aati hai to mujhe comment kare. Isi tarah ka post (Email ID Kaise Banaye) padhte rahne ke liye mujhe subscribe kare.
Agar yah post aapko pasand aaya ho to ise facebook, twitter etc. jaise social media par share kare.
Thanks bhai. bahut hi badhiya tarah se bataya hai aapne ki email id kaise banante hai
Email password cheej
My fesbook account rikaver