HTTP ka pura naam Hyper Text Transfer Protocol hota hai. Is protocol ka use server aur client ke beech information ko share karne ke liye kiya jaata hai. HTTPS me S word juda rahta hai. Is S ka matlab Secure Socket Layer hota hai. Yah protocol HTTP aur SSL/TLS ka mila juda version hai.
Jab koi web browser par is protocol ke through kisi information ka mangta hai to server aur client ke beech hone waale information ka transfer puri tarah se encrypted or code rup me hota hai matlab koi bhi beech me us data ko dekh kar padh nahi sakta hai.

HTTPS (Hyper text transfer protocol secure) generally communication ke liye two secure protocol – SSL (Secure Socket Layer) and TLC (Transparent Layer Security) ka use karta hai.
Read Also :
- Google Account Me 2-Step Verification Ko Enable Kaise Kare [For Gmail Security]
- Blogger Blog Ko Hacker Se Secure Kaise Rakhe : 10 Easy Steps
How HTTP & HTTPS Work ?
Jab bhi hum HTTPS page ke liye jaate hai to us se pahle website apna SSL certificate, browser ko send karti hai. Phir dono me secret communication hota hai, yadi everything correct ho to sabse upar web address bar me HTTPS ke aage green colour ka lock icon show hota hai jo security ka symbol hai. E-commerce ki site jaise Amazon, Flipkart etc. par aap https:// ke saath green colour ka lock icon dekh sakte hai.


Jis site par web address bar me green colour lock ka symbol dikhe to samajh jaaye ki wah site SSL se secure hai.
Iske just opposite wah website jo ki sirf http protocol se open hota hai us par apna personal information ko share karna bahut hi harmful shabit ho sakta hai kyoki http se open hone waale website par transfer hone waala data plain text me hota hai.
Plain text ka matlab data encrypted ya code rup me nahi hota hai jisko ki hacker Sniffer Tool ki madad se aapke data ko aasani se dekh sakte hai.
Is data ke antargat aapka username, password, bank account number, debit or credit ka no. etc ho sakta hai. Isliye is tarah ka number dene se pahle us site ki security ko jarur dekh le.
Problems With HTTP
Jab aap HTTP ke saath open hone waale website se connect hote hai, tab aapka browser us website ke anurup IP address ko dekhta hai, aur maan leta hai ki correct web server se connect kiya hai. Is connection me data clear text me sent hota hai.
Isliye hacker, Internet service provider ya phir State Intelligent Agencies jaise ki NSA yah dekh sakte hai ki aap kis web pages par visit kar rahe hai aur kya-kya data transfer kar rahe hai. Hacker aapke kisi bhi password, credit card ya phir kisi other data ko dekh sakte hai agar aap HTTP ke throug send karte hai to.
HTTP ke saath ek problem hoti hai ki aap indentify nahi kar paayege ki aap correct website se connect ho rahe hai ya nahi.
Maan lete hai ki aap kisi bank ki website par visit karte hai aur aap soch rahe hai ki sahi website par hai prantu yah bhi ho sakta hai ki hacker aapko usi tarah ka fake website par redirect karke aapka personal data chura le. So, jab bhi bank ki site par jaaye, web address bar me yah dekh le ki URL https:// se start ho raha hai ki nahi.
Aap bank ki site jaise ki www.icicibank.com par visit karke dekh sate hai ki yah https:// se open hota hai.

How To Identify HTTPS Website ?
HTTPS website ko identify karne ka sabse achchha tarika hai ki aap web browser ke address bar ko dekhe.
Address bar me green colour lock icon ke saath https:// najar aayega. Aap us lock icon par click karke website ke security ke baare me aur bhi adhik information jaan sakte hai.
Ummid hai ki aapko HTTP aur HTTPS ke work ke baare me samajh me aa gaya hoga. Ab mai aage badhta hun aur batana start karta hu ki kaise HTTPS ko enable karke apne blog ki security ko badha sakte hai.
Blogger Blog Par HTTPS Ko Enable Kaise Kare ?
Step 1
Sabse pahel aap apne blogger account me login karke blogger dashboard me jaaye.
Step 2
- Settings >> basic par click kare.
- HTTPS redirect ke saamne small drop down menu par click karke Yes select kare.

Yes par click karte hi aapke blog par HTTPS ki security enable ho jaayega. Ab aapka blog puri tarah se secure hai koi bhi hacker aapke blog par ke data ko chura nahi sakta hai.
Also Read :
To frends kya yah post aapke liye helpful tha. Agar really me aapko is post kuchh bhi jankari mili ho to ise Like aur share kare.
Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe Subscribe kare. Blogspot blog par HTTPS ko enable karne me koi problem aaye to mujhe comment kare.
Thanks @himanshu…. Keep visiting on my blog
This comment has been removed by a blog administrator.