How to create facebook account in hindi : Facebook duniya ka sabse popular Social Networking sites hai. Facebook ko 2004 me launch kiya gaya tha. Facebook par free me account bana sakte hai. Iske liye koi charge nahi lagta hai. Aaj shayad hi koi log hoga jo ki facebook ka naam nahi suna hoga.
Aaj sabhi log facebook ke naam se parichit hai aur we iska use bhi kar rahe hai. Facebook par aap duniya ke kisi bhi kone ke logo ko apna friends bana sakte hai.

Apne friends ko aap facebook par unka naam, address, mobile number, email id ko enter kar search kar skate hai. Is par apne friends ko free me message send kar sakte hai, comment kar sakte hai. Itna hi nahi is par aap apna photo, videos etc. ko bhi share kar sakte hai.
Is par aap apne business or brand ko free me promote kar skate hai. Is par aur bhi bahut saare feature hai jo ki aapko khud samajh me aa jayegi is par account banakar jab iska use karege to.
Ab mai aapko batana start karta hu ki kaise facebook par account banaya jaata hai.
- Popular Post Widget Ko Blog Me Kaise Add Kare ?
- Simple Recent Post Widget Ko Blog Me Kaise Add Kare ?
Facebook Par Account Kaise Banaye : How Create Facebook Account
Step 1 :
Sabse pahle www.facebook.com par visit kare.
Step 2 :
Ab jo registration page open hoga, usme sahi-sahi information fillup kare.

- Apna first name aur surname likhe. Example : First name – Himanshu & Surname – Kumar
- Apna Mobile number ya Email ID enter kare.
- Apna Mobile number ya Email ID phir se enter kare.
- Apne pasand ka strong password enter kare jo ki aapko yaad rakhna hai.
- Apna date of birth likhe.
- Aap male hai ya female, kisi ek me tick kare.
- Create an account par click kare.
Step 3 :
Ab aap apna Email ID ko open kare us par ek mail aaya hoga apke facebook account ko verify karne ke liye. Facebook ki taraph se aapke email par jo conformation ka link aaya hai us par click kare. Link par click karne ke baad aap facebook par redirect ho jaayege.
Ab aapka facebook account create ho chuka hai.
Iske alava ab aap apna profile photo ko laga sakte hai. New friends ko add kar sakte hai.
Read Also :
- Facebook par fan page kaise banaye blog ya website ke liye ?
- Facebook Like Box Ko Blog Me Kaise Add Kare ?
Is tarah se aapne dekha ki facebook account ko banana kitna easy hai.
Agar aapko yah post pasand aaya ho to is post ko Like aur Share kare. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe Email dwara Subscribe kare.