Google ke baad second number par facebook hi sabse popular website hai Internet par. Din pratidin facebook users ki sankhya badhti jaa rahi hai. Aap facebook page ki madad se apne business ko aasani se promote kar sakte hai. Facebook page ko facebook fan page bhi kaha jaata hai.
Facebook Fan Page Kya Hai ?
Maan lete hai ki aapke paas koi company hai aur aap company ka advertise karna chahte hai to fb page ki madad se free me aap apne business ka advertise kar sakte hai. Iske liye aapko facebook par apne company ke naam se page banana hoga. Uske baad free me promote kijiye apne business ka.
Yadi aap kisi actor ya actress ka fan hai to aap uske naam se page banakar dosto ke saath entertained kar sakte hai.Yadi aapne koi blog ya website banaya hai to uske naam se facebook par page ko banakar apne blog ya website ka advertise kar sakte hai.
Isse aapke blog ki traffic aur likes dono increase karega. Itna hi nahi aapne jo page banaya hai us page ko aap apne blog se add kar sakte hai. Isse aapke page ka likes aur bhi adhik badhne ka chance hota hai. Kyoki users blog aur facebook dono par visit karke aapke page ko like kar sakte hai.
Aap mere facebook fan page ko dekh sakte hai.
Facebook page ko apne blog se jodne ke liye ye post padhe : Facebook Like Box ko blog me kaise lagaye ?
Ab to aap samajh gaye hoge ki fb page ke help se apne business ka free me promote kar sakte hai aur apne blog par likes ko bhi badha sakte hai. Ab mai aapki batana start karta hu ki facebook page kaise banaya jaata hai.
Facebook Par Fan Page Kaise Banaye ?
Facebook page ko create karna bahut hi easy hai bas aap mere steps ko follow kare :-
Step 1
- Sabse pahle apne facebook account me login kare.
- Aapke facebook account me sabse right side ek drop down ka arrow hoga uspar click kare.
- Drop down list me se create page par click kare.
Step 2
Ab next page open hoga jisme kuchh categories hoge. Apne page ke liye aapko koi ek category ko select karna hai.
Local Business or Place : Agar aap facebook page kisi shop ya local business ke advertise ke liye banana chahte hai to ye category ko select kare aur phir is se related saari jankari fillup kare.
Company, Organization Or Institution : Yadi kisi company ya phir institute ke liye page banana chate hai to ye cateogory select kare.
Brand Or Product : Kisi product ya phir brand ke liye page create karna hai to yah category choose kare. Jaise ki agar aapke paas koi website ya blog hai ot ise select kare.
Artist, Brand Or Public Figure : Kisi artist ke liye page banana hai to yah category ko select kare. Jaise ki agar aap kisi actor ya actess ka fan hai to uske liye page bana sakte hai. Agar aapko public figure me apna image banana hai ya phir famous hona hai to ise select kare.
Entertainment : Is category me kisi movies, songs, books etc. jaise topic ke liye select kare.
Cause or Community : Is category me hum kisi bhi topic par page bana sakte hai. Is me aap community ko bana sakte hai jisme ki we sabhi users aapke page par post kar sakte hai jo aapke community me hoge. Dusri category me aisa nahi hota hai sirf isi category me yah feature hai.
Is tutorial me mai aapko Brand or Prodcut ke liye page banane ke liye bataunga isliye hum Brand or Product ko select karte hai. Is category ko select karne ke baad ek window open hogi.
- Dropdown menu par click karke Website ko slect kare.
- Apne page ka name likhe.
- Get Started par click kare.
Step 3
- Apne page ke baare me kuchh likhe jis se ki visitor ko samajh me aaye ki aapka page kis chij se related hai.
- Apne website ka URL likhe.
- Save Info par click kare.
Step 4
Next page par aapko apne page ke liye profile picture ko select karna hai. Aap chahe to is step ko skip karke baad me bhi picture ko laga sakte hai.
- Compute se image ko upload karne ke liye Upload From Computer par click kare.
- Online photo lagana hai to us photo ka link daalkar bhi profile picture laga sakte hai. Uske liye Import From Website par click kare.
- Profile picture lagane ke baad next par click kare.
Step 5
- Add to Favorites par click kare.
- Ya phir Skip par click kare.
Step 6
Location : Is option me aap kisi country ya phir city ko select kar sakte hai. Jis country ya place ko select karege sirf wahi par ke users aapke page ko dekh ya like kar sakege.
Age : Kis age ke user aapke page ko dekh sakta hai wah choose kare.
Gender : Aapka page Men ya Women ya phir dono dekh sakta hai wah select kare.
Interests : Isme aap apne interested page ko select kar sakte hai.
Skip : Agar aap in sabhi setting ko nahi karna chahte hai skip par click kare. Mai suggest karunga ki aap skip hi kare taaki sabhi log aapke page ko dekh paaye.
Ab aapka Facebook fan page ban chuka hai.
Read Also :
To friends aapko mera yah post kaisa laga. Agar Facebook fan page ko banane me agar koi problem aati hai mujhe comment kare.
Agar yah post aapke liye helpful raha ho to ise social media par share kare aur mere facebook page ko like karna na bhule. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe Email ke dwara Subscribe kare.
Hello Himanshu,
I am also a blogger from Bihar. My website is shapingminds.in and I mainly write on two categories (i) Educational (ii) Satire. I use two languages namely Hindi n English.