Bahut se users aise hote hai jinke Google Account me 2-Step Verification ki setting enable nahi hoti hai. Iska karan yah ho sakta hai ki unhe iske importance ke baare me nahi pata hai ya phir we is setting ke baare me nahi jaante hai prantu mai aapko bata du ki Google 2-Step Verification ko enable karna un saare users ke liye bahut hi jaruri hai jinke paas Google Gmail Account ka Email ID hai. Nahi to phir aapka Email account hack ho sakta hai.
Aaj internet ki duniya me kuchh bhi secure nahi hai. Kabhi bhi hackers hamare account ko hack kar sakta hai. Iski safety ke liye hame apne account ki security par dhyan dena bahut hi jaruri hai.
Agar aapka Gmail Account (jis par email ID banate hai) hack kar liya jaata hai to us Gmail ke through hacker aapke un saare account ko hack kar lega jin-jin account ko aapne us gmail account ke email se create kiya hoga. Jaise ki Facebook, twitter, LinkedIn, Instagram, Blog etc., par account banane me Google gmail account ki jarurat hoti hai.
Read Also :
Agar hum kisi account ka password bhul jaate hai to fogot password karte hi, forgot password karne ke baad hamare Gmail par us account ka password change karne ka link aata hai jiske through hum phir se apne us account ko open kar paate hai.
Hackers kisi bhi users ka gmail account hack karne ke baad isi method ke through uske saare account ko hack kar sakta hai. So, aisa aapke saath na ho, iske liye aap apne Google Gmail Account me 2-Step Verification ko abhi turant enable kare.
Google 2-Step Verification Kya Hai ?
Google 2-Step Verification hamare Gmail Account ki security ko double kar deta hai. Google Account me 2-Step Verification ko enable karne ke baad jab bhi aap apne Google Gmail Account me login karege to aapke mobile par OTP (One Time Password) ka SMS aayega. Is OTP ko daalkar conform karne ke baad hi aap apne gmail account me login kar payenge.
2-Step Verification ko enable karne ke baad agar koi bhi aapke Goolge Account ka email aur password jaan bhi jaata hai to phir bhi wah aapke account me login nahi kar paayega kyoki usko OTP ki jarurat padegi. To ab aap samajh hi gaye hoge ki two step verification ko enable karna kitna jaruri hai.
Google Gmail Account Me 2-Step Verification Ko Enable Kaise Kare ?
Step 1 : Sabse pahle 2-Step Verification Setting Page par visit kare.
Step 2 : Ab apne Gmail ID (username and password) se login kare.
Step 3 : 2-Step Verification ko enable karne ke liye GET STARTED button par click kare.
Step 4 : Ab phir se apne goolge account ka password enter karke sign in kare.
Step 5 : Ab ek new page open hoga.
- Apna mobile number likhe jispar 2-Step Verification ko enable ko enable karna chahte hai. Isi no. par aapka OTP send kiya jaayega.
- Verification ke liye jo OTP aayega, usko aap SMS ya Phone Call ke through receive karna chahte hai, wah select kare.
- TRY IT par click kare.
Step 6 : Ab ek new page open hoga.
- Aapke Mobile number par SMS ke through OTP Code aaya hoga, usko enter kare.
- Next par click kare.
Step 7 : Ab jo next page open hoga usme TURN ON par click kare.
Ab aapke google account me two step verification ki setting enable ho gaya hai. Aap jab bhi apne account me login karege to login karne ke liye aapke mobile par OTP aayega. Is OTP ko dalkar conform karne ke baad hi account me login kar payenge.
2-Step Verification ka Alternative Method :
2-Step Verification ke aap dusre method ko bhi enable kar sakte hai. Iski jarurat hame baad me par sakta hai. Maan lete hai ki aap kisi computer, tablet, mobile etc. me login kar rahe ho aur us time aapke paas wah mobile number nahi ho ya phir wha mobile chori ho gaya ho jis par OTP send kiya jaata tha.
Aise condition me aap apne account me login nahi kar payenge. Iske solution ke liye aap 2-Step verification ka alternative method ko enable kar sakte hai.
- Backup Codes : Google Verification ke is setting me aapko 10 code milege. Is code ka use aap apne acccount me login karne me us waqut use kar sakte hai jis time kuchh karan OTP code mobile par receive nahi ho pa raha ho ya phir us waqt aapke paas mobile nahi ho. Aap is code ko kahin par save karke rakh sakte hai. Is code ko bhi dalkar aap apne account me login kar skate hai.
- Authenticator App : Is App ko aap apne smartphone me install kar ke rakh sakte hai aur phir login ke time jab OTP ki jarurat padegi to aap is App se code dekh kar pane acccount ka verification karke login kar skate hai.
- Backup Phone : Is setting me aap apna other mobile number add kar sakte hai taaki agar aapke paas first waala mobile number nahi ho to aap other mobile number par OTP receive kar sakte hai.
- Security Key : Yah ek USB key hota hai . Is key ko login ke time jab ap computer se connect karege to two step verification ka process automatically ho jaayega.
- Devices You Trust : Is sectioh me aap un sabhi device ko dekh sakte hai jisme aapne pahle kabhi login kiya tha. Agar wah device aap ka nahi hai to aap usko remove kar sakte hai taaki baad me koi agar usme login kare to verification code mange.
Ab aapne apne Google Gamil Account ki security ko double kar liya hai. Aap jab baad me apne google account me login karege to aapse 6-digit ka verification code enter karne ke liye kaha jayega. Aap ise screenshots me dekh sakte hai.
- Verification code enter kare jo aapke mobile par aaya hoga.
- Done par click kare.
- Agar aapka computer ya mobile hai tabhi tick kare warna kabhi nahi kare. Agar ap chahte hai ki login ke time baar baar OTP nahi maange to tick kare agar aapka system hai to.
Read Also :
- Gmail क्या है ? E-mail Account Gmail पर कैसे बनाये ?
- Blogger Blog को Hacker से Secure कैसे रखे : 10 Easy Tips
Google Gamil Account me 2-Step Verification ko enable karne se related koi bhi problem ho to mujhe comment kare.
Agar aapko mera post pasand aaya ho to is post ko like aur share jarur kare. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe Email ke dwara subscribe kare.
Nice post sir ji
Thanks
Very nice & useful post