HTML Comment Box Ko Blog Me Kaise Lagaye

HTML comment box bahut hi simple aur fast loading comment box hota hai. Aur is comment box ko apne blog me lagana bahut hi aasaan hai. Isko blog me lagane ke liye ek html code hota hai. Aapko bas HTML code ko copy karke apne blog me paste karna hai.

html-comment-box-kaise lagaye-blog-meHTML comment box me koi bhi user ya reader aasani se comment kar sakte hai. Yah comment box aapke site par adhik se adhik visitor ko laane me bahut help karegi. Kyoki html comment box me comment karne ke liye user ko kisi bhi email account aur facebook account ki koi bhi jarurat nahi padti hai.

Aaj aise bhi user hai jinke paas email account bana hua nahi hota hai jiske karan we google comment box me ya wordpress par jo comment box hote hai, usme comment nahi kar paate hai.

Prantu HTML comment box me comment karne ke liye kisi bhi account ki jarurat nahi parti. Koi bhi users directly apna naam aur apna comment likhkar aapko comment kar sakte hai.

HTML Comment Box Code Create Kaise Kare ?

HTML comment box ko apne blog me lagane ke liye aap mere steps ko follow kare.

Step 1 : Sabse pahle aap www.htmlcommentbox.com  ki site par visit kare.

Step 2 : Ab ek page open hoga. Usme comment box ko apne blog par lagane ke liye ek html code hoga. Code ko copy karne se pahle aapko apne google account me login karna hoga. Log in par click kare.

newfeatureblog.com login par click kare - comment box

Step 3 : Log in par click karne ke baad ek page open hoga.

  1. Apna email address ko likhe.
  2. Next par click kare.
newfeatureblog.com email address likhe

Step 4 : Apna email account ka password daalkar sign in ki button par click kare.

newfeatureblog.com password daale

Step 5 : Ab ek page open hoga. Allow par click kare.

newfeatureblog.com allow par click kare

Step 6 : Next page me comment box ko apne blog me lagane ke liye HTML code hoga. Pure HTML code ko copy kar le.

newfeatureblog.com copy code

Ab copy kiye hue HTML code ko aapko apne blog me lagana hai.

HTML Comment Box Code Ko Blog Me Kaise Add Kare ?

HTML comment code ko blog me lagana bahut hi aasaan hai. Bas aap mere steps ko follow kare.

Step 1 : Sabse pahle aap apne blogger ke dashboard me login kare. Jis blog me yah comment box ko lagana chahte wah choose kare.

Step 2 : Layout par click kare.

newfeatureblog.com layout par click kare

Step 3 : Layout par click karne ke baad ek page open hoga. Aapko blog me jis place par comment box ko lagana hai waha par ke Add a Gadget ki link par click kare.

newfeatureblog.com add a gadget par click kare

Step 4 : Ab HTML / JavaScript par click kare.

newfeatureblog.com html/javascript par click kare

Step 5 : Ab ek new page open hoga.

  1. Title me ‘comment‘ likhe.
  2. Copy kiye hue HTML coe ko box me paste kar de.
  3. Save par click kare.
newfeatureblog.com

Ab aapke blog me comment box add ho gaya hai. Aap check kar ke dekh sakte hai.

I hope, aapko yah post pasand aaya hoga. HTML comment box ko blog me add karne me koi problem aati hai to mjhe comment kare.

NewFeatureBlog ke sabhi new post ko direct apne email par pane ke liye mujhe Subscribe kare. Agar yah post aaya ho to ise facebook, twitter par share kare.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

7 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *