HTML/JavaScript Ko Blogger Me Kaise Add Kare

Sabse pahle mai aapko bata du ki jitne bhi new blogger hai, jinhe blog banaye hue jyada din nahi hue hai, unke liye HTML/JavaScript widget ke baare me jaan lena bahut hi jaruri hai. blog ko create karne ke baad new blogger ko jo problem hoti hai wah yah ki ab blog ka design kaise kiya jaaye.

Kyoki aapke blog ka design attractive hoga tabhi adhik se adhik visitor aapke blog par visit karna pasand karenge. Blog ko design karne me HTML/JavaScript ki bahut hi aham bhumika hai. Jis blogger ko coding nahi bhi aati hai, we is widget ke help se HTML ya JavaScript ke code ko blog me add kar sakte hai.

HTML JavaScript ko blogger me kaise add kare

Jyadatar blog ke sidebar me aap Facebook Like Box, Email Subscribe Box, Recent Post etc. jaise Gadget ko dekhte honge. In sabhi Gadget ko aap is widget ke help se apne blog me add kar sakte hai.

Aapke paas bas kisi bhi gadget ko blog me lagane ke liye unka HTML ya JavaScript ka code hona chahiye. Kisi bhi gadget ko apne pasand ke place par laga kar blog ko aur attractive bana sakte hai.

HTML/JavaScript Kya Hai ?

HTML/JavaScript blogger ka ek gadget hai. Kisi bhi widget ke HTML code isme hi add kiya jaata hai. HTML/JavaScript par click karne ke baad ek new page me content  box open hota hai jisme code ko daalkar save kar diya jaata hai. Uske baad us code ka widget blog me show hone lagta hai.

Agar blogger me HTML/ JavaScript ka feature nahi hota to aapko template me jaakar ke code ko add karna padta jisme ki thodi si problem hoti hai. Prantu isme aap code ko aasani se add kar sakte hai. Aap advertising ke ads ko bhi iske help se laga sakte hai.

HTML/JavaScript Ko Blog Me Add Kaise Kare ?

HTML/JavaScript ko blog me add karna bahut hi easy hai bas aap mere steps ko follow kare.

Abhi mai maan kar chalta hu ki aapke pass kisi widget ka code hai aur aap use apne blog me add karna chahte hai. Agar aapke pass koi code nahi hai to aap demo ke liye Facebook Likebox ya phir Recent Post ke code ko try kar skate hai. Ab hum aage badhte hai.

Step 1 : Sabse pahle aap apne blogger account me login karke dashboard me jaaye.

Step 2 : Ab layout par click kare.

layout par click kare

Step 3 : Jis place par aapko widget ko lagana hai chahe wah cross column, left sidebar, right sidebar ya footer ho , waha par ke Add a Gadget ke link par click kare.

click on add a gadget

Step 4 : Ab ek popup windows open hogi jisme bahut saare widget hoge. Abhi aapko HTML code ko add kakrna hai isliye scroll down karke HTML/JavaScript par click kare.

click on HTML / Javascript

Step 5 : HTML/JavaScript widget par click karne ke baad ek new page open hoga.

  • Jis widget ko aap blog me add karna chahte hai uska title de. Agar aap kisi ads ke code ko add kar rahe hai to mai kahunga ki aap title me kuchh bhi nahi likhe, use khali rahne de.
  • Jis HTML/JavaScript ke code ko apne blog me add karna chahte hai, yaha par content box me paste kar de.
  • Code ko paste karne ke baad Save ki button par click karke save karde.
title de aur html javascript code ko content box me paste karke save kar de

Ab aap jaan hi gaye hoge ki kisi bhi HTML ya JavaScript code ko blog me kaise add kiya jaata hai. Phir bhi agar koi problem ho to mujhe comment karke bataye.

Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe Subscribe kare. Agar yah post aapko pasand aaya ho to ise facebook, twitter etc. jaise social site par share kare.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

7 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *