How to create Instagram Account in hindi : Instagram ek social networking site hai. Is par aap photo and video ko share kar sakte hai. Instagram par aap facebook ki tarah chatting to nahi kar sakte hai prantu aap apni selfi, funny photo, videos ko online instagram par share kar sakte hai.
Instagram par aap maximum 15 second ka videos ko share kar sakte hai. Prantu January 2016 se iska time 15 sec se 60 second ho gaya hai. Ab aap maximum 60 second ka videos ko instagtam par share kar skate hai. Yah site user ko publicaly aur privately image and video ko share karne ki service provide karti hai.
Instagram ko Kevin Systrom and Mike Krieger ne create kiya aur october 2010 me isko launch kiya gaya. Instagram ka use jyada tar mobile me iska app download karke kiya jaata hai.
- Website के लिए Domain Name कैसे ख़रीदे या Register करे ?
- Facebook पर Account कैसे बनाये : Only 3-Steps
Instagram Par Account Kaise Banaye ?
Step 1 : Instagram par account banane ke liye sabse pahle aap instagram.com ki site par visit kare.
Step 2 : Instagram ki site par visit karne ke baad aapke saamne ek form open hoga.
- E-mail Address : Apna E-mail address likhe.
- Full Name : Apna pura name likhe.
- Username : Agar aapke pass koi site hai to uske naam se username likhe ya phir apne pasand ka username likhe.
- Password : Apana password likhe.
- Sign up : Sign up click kare.
Step 3 : Agar aap App ko download karke account create karna chahte hai to get app par click kare. Mai aapko bina App ke download kiya hue account ko banane ka tarika bata raha hu isliye aap Not Now par click kare.
Step 4 :
- Add a profile photo par click kare. Iske baad jo profile picture aapko pasand hai usko select kare aur saath me instagram aapko kcuhh page suggest karkkeg, jinhe follow karke aap unke dawara daale jaa rahe picture ya video ka daily update paa sakte hai.
- Cursor ko scroll down karke Get started par click kare.
Bas ho gaya aapka account ban gaya. Ab aap chahe to apne profile ko edit karke kuchh information ko fillup kar sakte hai. Aap mere steps ko follow kare.
Instagram Account Profile Ko Edit Kaise Kare ?
Step 1 :
- Sabse upar right side ke corner me ek icon hoga uspar click kare.
- Edit Profile par click kare.
Step 2 : Ab aapke saamne ek page open hoga jisme apna information ko fillup karne ka two category hoga, pahla public aur dusra private.
Niche diye screenshot ke according form fillup kare. Yah information public hoga.
Private Information : Screenshot ke anusar form fillup kare. Yah infomation private hoga. Last me Submit par click kare.
Step 3 : Submit par click karne ke baad aapko account ko verify karna hai.
- Mobile Number daale .
- Submit par click kare.
Step 4 : Aapke number par ek message aayega jisme account ko verify karne ke liye security code hoga .Code ko daalkar submit ki button par click kare.
Ab aapka account puri tarah se create ho chuka hai.
I hope, aapko yah post pasand aaya hoga. Instagram par account banane me koi problem aati to mujhe comment kare.
Is blog ke sabhi new post ki jankari direct apne email inbox me pane ke liye mujhe Subscribe kare. Agar yah post aapko pasand aaya ho to ise facebook, twitter par share kare. Mujhe Instagram par follow kare.