How to create LinkedIn Account in hindi : Linkedin aaj ke jamane me ek famous professional social networking sites hai. Linkedin par aapko kitne hi million users mil jayenge jinki madad se aap apne ideas, knowledge ko increase kar sakte hai.
Is site par aapko kitne hi professional log milege. Agar aap unke saath business karna chahte hai to yah site aapki bahut help karegi.

Yah site aapko job search karne me bhi help karegi. Jyadatar business karne wale log is site par apne business ka promotion ke liye advertising karte hai.
Jis tarah se blog ya website ka advertising facebook, twitter etc. par kiya jaata hai, usi tarah se linkedin par bhi aap apne blog ya website ka advertise kar sakte hai aur apni site ya blog ki traffic increase kar sakte hai.
Ab hum sidhe apne point par aate hai aur aapko batana start karte hai ki LinkedIn par account kaise banaye. Aap mere steps ko achchhi tarah se follow kare.
LinkedIn Par Account Kaise Banaye ?
LinkedIn par account banane ke liye mere steps ko follow kare :
Step 1
Sabse pahle aap Linkedin ki site par jaaye.
Step 2
Join Now par click kare.

Step 3
- Apna name likhe. Jaise ki mera naam Himanshu Kumar hai to mera first name Himanshu aur last name kumar hua.
- Last Name likhe.
- Apna Email daale.
- Password daale.
- Join Now par clik kare.
Step 4
- Isme aap apne country ko choose kare.
- Phir apne area ka zip code daale.
- Agar aap student hai to Yes par tick kare. Agar aap student nahi hai to No par tick kare aur phir apna job , company ka naam choose kare.
- Yes par tick karne ke baad apne college ka naam likhe.
- Kis class me hai ya phir aapko kis chij ki degree mili hai wah likhe.
- Aapne kis year me college join kiya hai wah likhe.
- College se aapko kis year me degree mili wah likhe.
- Continue ki button par click kare.

Step 5
Continue ki button par click kare.

Step 6
Allow par click kare.

Step 7
Allow par click karne ke baad aapke email account par jo-jo friends honge, un sabhi friends ko linkedin se connect karne ka option aayega. Sabhi ko select kare. Uske baad connect par click kare.
Step 8
Ab profile photo ko add karne ka option aayega. Agar aapko abhi photo ko lagana hai to choose a photo par click karke apna photo ko select kare.
Agar aapko baad me photo lagana hai to skip par click kare. Baad me aap apne account ke homepage par jaakar menu bar me profile par click karke photo ko laga sakte hai.
Step 9
Lastly, Upload photo par click kare.
Ab linkedin par aapka account ban gaya hai.
Ummid hai ki aapko yah post pasand aaya hoga. LinkedIn par account kaise banaye se related koi question ho to comment box me comment kare.
Is post ko apne friends ke saath share kare. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye subscribe kare.