How to prevent mobile phone from hanging in hindi : Duniya me Android users ki sankhya million me hai aur inki sankhya din prati din badhti ja rahi hai. Lekin kya aap jaante hai ki every second kisi na kisi Android users ko phone ke hang hone se related problem ko face karna padta hai.
Aaj mai aapko is post ke through bataunga ki aap apne mobile phone ko hang hone se kaise bacha sakte hai.

Ham log jaante hai ki mobile ke liye sabse best operating system Android hai aur million logo ke paas android phones hai. Kuchh log sochte hai ki Android smartphone me hanging ka problem Android OS me errors ke karan hota hai.
Mai aapko kuchh tips bataunga jis se aapke smartphone me hanging ka problem solve ho jayega.
- Mobile Phone की Battery Life कैसे Increase करे ?
- Blogger Blog को Hacker से Secure कैसे रखे : 10 Easy Tips
Phone Hanging Kya Hai ?
Jab mobile phone, user ke command ko respond dena band kar deta hai to ise hum phone hanging kahte hai. Isko phone crash bhi kaha jata hai.
Bahut baar aisa hota hai ki jab aap apne smartphone ke App ko open karte hai to wah jaldi open nahi hota hai. Phone automatically switch off or on hone lagta hai to isko aap kah sakte hai ki aapka phone hang ho raha hai.
Hanging ke condition me aapka phone ka speed bahut hi slow ho jaayega, battery adhik spend hoga aur aapka smartphone thik tarah se work nahi karega.
Mobile phone Ko Hang Hone Se Kaise Bachaye ?
Smartphone ke hang hone ke bahut se karan hai. Mobile phone ko hang se bachane ke liye mai aapko 16 tips bataunga jis se aapke mobile phone me hanging ka problem solve ho jayega.
1. Unwanted data (catched data) ko delete kare
Kya aap jaante hai ki sabhi website apne website ke page speed ko increase karne ke liye cache ka use karte hai ? Jab aap kisi website par visit karte hai to aapka phone automatically unwanted data ko store kar leta hai jisko ki cookies and caches kaha jaata hai.
Yah unwanted data aapke phone memory me store ho jayege jo ki Apps or other files ke liye available memory ko decrease kar deta hai. Apne smartphone se hamesha cache ko clear karte rahe.
Clear cache se aapka koi bhi application delete nahi hoga. Is se aapke phone par jitne bhi junk files hoge wah sabhi remove ho jayege or aapka storage increase karega or aapka device fast work karega.
Solution :- Yah problem ko aap setting me jakar asani se solve kar sakte hai.
Go to Setting >> Storage >> click on the Cache and click OK button to clear caches

2. Apps ko external memory (SD Card) me install kare
Sabhi users apne smartphone me bahut type ke App ko install karte hai. Jis time we App ko install karte hai, we is baat par dhyan nahi dete hai ki App kahan par install ho raha hai or iska effect phone ke performance par kya padega.
Adhik tar case me, by default sabhi Apps phone ke internal memory me hi install hota hai. Agar jyada Apps internal memory me install hoge to is se apps ko run karne ke liye space kam (less) pad jayegi aur iske karan internal memory par jyada load padega aur aapka device thik se work nahi karega.
Yadi aapka phone hang hota hai to Apps ko aap phone ke external memory (SD Card) me install kare. Jydatar external memory, internal memory ke comparison me adhik hota hai. Aur external memory ko aap apne jarurat ke hisab se increase bhi kar skate hai (2 GB card ke badle 8 GB card laga sakte hai).
Is tarah se aap apne phone ke internal memory par adhik load diye bina aasani se jyada Apps ko external memory me install kar sakte hai. Is se aapka phne hang nahi hoga.
Solution :- Iske liye aap default write disk ko set kar sakte hai.
Go to Setting >> Storage >> Default write disk >> select SD Card

Iski setting different mobile me different location par ho sakte hai. Yah setting karne ke baad ab application aapke mobile ke external memory cards me install hoga.
3. Installed apps ko internal se external memory me move kare
Aap kabhi bhi install App ko interanl se external memory me move kar sakte hai. Jaisa ki maine upar me batlaya, is se apps ko smoothly run karne ke liye jyada internal memory space milega. Jis se ki aapka phone hang nahi hoga.
Solution :- Install apps ko internal se external memory me move aap setting me jakar kar sakte hai.
Setting >> Apps >> click on App >> Click on Move to internal storage
Bahut se smarthpone me “Move to storage” ke place par “Move to SD Card” ho sakta hai.

4. Songs and other files ko external memory me save kare
Internal memory ka bahut hi jyada use karna, phone ke hang hone ka sabse bada karna hai. Apne Android Phone ke hanging problem ko solve karne ke liye aap songs, videos and other data ko external memory me save kare.
Aap iske solution ke liye apne files ko external memory me move kar sakte hai aur external memory ko default memory select kar sakte hai. Is se jitne bhi photo and video ko download karege we sabhi external me save hoge.
Camera ke through jitne bhi photo lege we sabhi external memory me hi save hoge aur internal memory par adhik load nahi padega.
External memory ko default memory banane ke liye second tips padhe.
5. Application Ko Proper Close Ya Exit Kare :
Jyadatar users application ko open karke proper rup se close ya exit nahi karte hai. We application ko close karne ke liye directly home button ka use karte hai. Is se wah application background me run karta rahta hai.
To aap imagine kar sakte hai ki aapke phone me kitne application install hai. Jab ye sabhi application run karte rahege to is se internal memory par adhik load padega aur mobile hang karne lagega. Isliye application se proper rup se exit ho.

6. Application ke attraction se bache
Aapke smartphone ke screen par live wallpapers, launcher and themes dekhne me bahut achchhe lagte hai aur sabhi users ko attract karte hai. Lekin yah bhi bahut hi CPU power ko consume karta hai aur is se bhi aapka phone hang ho sakta hai.
Isliye agar aapka phone hang ho raha hai to aap aise appliation ko avoid kare.
7. Unnecessary apps ko delete kar de
Bahut saare users ke Mobile me aise Apps hote hai jinka we use nahi karte hai prantu phir bhi we us app ko apne mobile me rakhte hai. Adhik Apps ke karan RAM par adhik load padta hai or yah faltu me memory ko waste karta hai. Isliye aap aise app ko uninstall karde jiska use aap nahi karte hai.
8. Mobile phone ko shut down kare
Everyday ek bar apne phone ko shut down karna bahut hi good idea hai kyoki is se aapke phone ka memory completely refresh ho jaata hai. Jab aap apne phone ko restart karege to iska memory faltu ke data se free ho jayega.
9. External memory me kuchh space rahne de
Maine aapko external memory me apps ko install karne ka importance pahle hi bataya lekin iska matlab yah nahi hai ki aap puri tarah se external memory ko full kar de.
Aapko external memory me bhi kuchh sapce rakhna padega taki Apps ko aasani se store kar sakte hai. Agar external memory puri tarah se full ho jata hai iske karna bhi aapka phone hang ho sakta hai.
10. App ko force stop kar de
Jyada users ke smartphone me sabse jyada in build app hote hai jinko ki aap uninstall nahi kar sakte hai. Agar aise App ka use adhiktar nahi karte hai to isko force stop kar de.
Agar phone me kuchh aise App hai jinka use aap kam karte hai aur unko uninstall bhi nahi karna chahte hai to is condition me us App ko force stop kar de taaki wah run nahi karta rahe.
Solution :-
Setting >> App >> select app >> Force stop
11. Unknown app ko disable and force stop kar de
Internet ke through kabhi-kabhi aapke smartphone par aise app install ho jaate hoge jinke baare me aap nahi jaante hoge. Is tarah ke app me uninstall karne ka option nahi hota hai.
Isko aap disable and force stop karke hi iske running ko stop kar sakte hai. Agar aapke bhi smartphone me is tarha ka app hai to usko disable and forcestop kar de.
Solution :-
Go to Setting >> App >> All >> select app >> Force stop and disable

12. App ke cache aur Data ko clear karte rahe
Jis App ko aap jyada use karte hai, usme cache and data store hote rahta hai. Iske karan internal memory par load padta. Agar yah cache aur data adhik store ho jaayenge to aapka phone hang karne lag sakta hai. Isliye cache aur data ko clear karte rahe.
Note :- Clear data karne ke baad agar aapke kisi app me account login hoga to wah remove ho jayega or aapko baad me phir se login karna padega. Agar aapne browser me bookmark ya page ko save karke rakha hoga to wah delete ho jayega.
Prantu clear data karne se mobile fast work karne lagta hai. Agar page ko save rakhna chahte hai to iska backup le le uske baad clear data kare.
Solution :-
Setting >> App >> click on app >> clear data & clear cache

13. Google play store se hi application install kare
Kisi bhi fake market se application ko install na kare. Is se aapke smartphone par bahut hi bad effect pad sakta hai. wah application aapke smartphone ko harm kar skata hai. Kyoki is tarah ke fake site par 90% application me virus hota hai. So, Google play store se hi app install kare.
14. Battery level 30% se upar rakhe
Smartphone me battary level ko hamesa 30% ke upar rakhe. Kyoki kuchh application ko jyada battery ki jarurat padti hai. Low battery rahne ke karan ho sakta hai ki application thik se work nahi kare aur hanging ka problem create ho.
Isliye hamesha pane smartphone ko charge rakhne ki koshish kare.
15. Kisi popular antivirus App Ko Install Kare
Apne smarthphone me ek achchha sa antivirus app ko install kare kyoki virus ke karan bhi aapka phone hang ho sakta hai. Antivirus se virus ko aasani se detect kiya ja sakta hai.
16. Factory reset options
Agar upar bataye hue tips ko follow karne ke baad bhi aapka phone hang karta hai to aapko factory reset karan padega. Factory reset karna sabse last option hai.
Factory reset ke baad sabhi unwanted files delete ho jaayega jo ki aapke browsers, website, Apps etc. se aate the. Factory reset karne ke liye yah post padhe : Android Phone Ka Factory Reset Kaise Kare ?
Friends, aapko mera yah post kaisa laga. Agar aapke liye yah post helpful raha ho to is post ko social media par share kare. Mobile phone ko hang se kaise bachaye se realted agar aapka koi question ho to mujhe comment kare.
Mera new post ko direct apne email par paane ke liye mujhe Subscribe kare. Aur ha is post ko facebook par share karna na bhule.