How to create pinterest account in hindi : Is post me pinterest par account kaise banate hai ke bare me janege. Pinterest ek Social Networking site hai. Facebook, twitter, Google plus aur LinkedIn ke tarah yah bhi bahut hi popular social site hai. Din-pratidin pinterest par users ki sankhiya badhti jaa rahi hai.
Aaj yah itna famous ho gaya hai ki jyadatar users apne business, brand, site etc. ke promotion ke liye iska use karne lage hai.
Pinterest Kya Hai ?
Pinterest ek social sites hai jispar aap apne pasand ka image ya photo ko pin kar sakta hai. Is social sites ko March 2010 me launch kiya gaya. Isme aap different types ke board ko banakar usme alag-alag category ke photo ya image ko pin kar sakte hai.
Pinterest par aapko various types ke category milege jaise ki Education, Art, Design, Hair and Beauty, Health and fitness, Science, Sports, Weeding etc. Aap apne pasand ke category se photo ko choose karke apne board me pin kar skate hai. Board ke baare me mai aage discuss karunga.
Pinterest par facebook, twitters etc. ke tarah hi kisi bhi other user ke pin photo ko like, us par comment aur usko share kar sakte hai. Ek study ke anusar sabse amazing baat to yah hai ko pinterest par 80 % user women hai.
Pinterest Work Kaise Karta Hai ?
Pinterest par photo ko pin karne ke liye aapko ek board banani padegi. Is par aap various-types ke board ko create kar sakte hai aur usme category ke anusar different types ke photo ko pin kar skate hai.
Jaise ki agar aap blogging se related saare photo pin karna chahte hai to blogging ke naam se board create kare aur uske baad saare photo ko us board me pin kar de. Agar aapko Hair and Beauty se related saare photo ko apne board me pin karna hai to aap us topic se related board banaye aur usme saare photo ko pin kar de.
Is tarah se aap different types ke board ko banakar alag-alag category ke photo ko collect kar sakte hai. Is se aapko aapke dwara pin kiya hua photo ko search karne me pareshani nahi hogi.
Board kya hai : Pinterest me board two types ke hota hai. Pahla public board aur dusra secret board. Public board me koi bhi users jinka pinterest account bana hua hai, we aapke board ko dekh sakte hai. Prantu secret board me koi bhi users aapke board ko nahi dekh paayega. Aap jis-jis friends ko invite karenge sirf wahi aapke secret boards ko dekh paayega.
Maine pahle bhi aapko board ke baare me bataya ki yah ek aisa place hota hai jaha par aap apne pasand ke saare photo ko collect karke rakh sakte hai. Agar aap apne board me image ya photo ko pin karke rakhte hai to us image ko koi bhi other users re-pin kar sakta hai.
Pinterest par account bana lene ke baad aap kisi ke bhi pin kiye hue image ko search kar skate hai aur usko like, share aur us par comment kar sakte hai. Is par aap kisi bhi board ko search karke usko follow kar sakte hai. Itna hi nahi is par aap facebook ki tarah kisi bhi users ko search karke follow kar sakte hai aur usko aap apna friends bana sakte hai.
Business Ko Promote Kaise Kare Pinterest Par ?
Apne business ko aap pinterest par promote kar sakte hai. Kitne hi users apne business ko promote karne ke liye pinterest ka help lete hai. Agar aap ek fashion designer hai to aap apne design ko pinterest par advertise kar sakte hai.
Agar aap kisi product ko sell karne ka business karte hai to aap apne product ke image ko pinterest par daalkar uska advertise kar sakte hai.
Agar kisi users ko aapka product pasand aata hai to we aapke product ko buy bhi kar sakte hai. Isi tarah ke kitne hi business ka advertise pinterest par kiya jaata hai.
Pinterest Dwara Blog or Website Ki Traffic Increase Kaise Kare ?
Pinterest par aap apne blog ki traffic bahut hi easy se increase kar sakte hai. Maximum sabhi blogger iska use apne site ko promote karne me karte hai. Aapko pinterest par kitne hi blogging se related image mil jayenge. Is baat ko check karne ke liye sabse pahle aap pinterest account me login kare.
Uske baad iske dashboard me sabse upar search box hoga. Usme blogging likh kar search kare. Uske baad aapke saamne bahut saare blogging se related image show hone lagege. Us image par jab aap click karege to usme aapko pin (save), like, share, comment aur visit karne ke option aayega.
Visit par click karne ke baad aap blog or website par visit kar jaayenge kyoki image me blog ke post ka link hota hai.
Is tarah se aap bhi apne blog ke image ko pin karke apne site ka traffic badha sakkte hai. Aapke pin image ko jitne users repin karege, utna hi aapke blog ki traffic increase karegi.
Aap apne blog par pin button ko laga kar visitor ko aap pinterest par pin karne ke liye kah sakte hai. Apne blog ke image ko is par pin kaise karte hai uske baare me mai aage bataunga.
Pinterest Account Kaise Banaye ?
Is par account create karna bahut hi easy hai bas aap mere steps ko follow kare.
Step 1 : Sabse pahle aap pinterest ka official site www.pinterest.com par visit kare.
Step 2 : Ab ek new page open hoga. Usme aapko apna email aur password daalna hai.
- Apna email likhe.
- Apna password likhe.
- Continue ki button par click kare.
Note : Aap chahe to apne facebook account ke through bhi pinterest account create kar sakte hai.
Step 3 :
- Apna name likhe.
- Isme aapka age kitna hai wah bhare.
- Male ya female par tick kare.
- Sign up ki button par click kare.
Step 4 : Next par click kare.

Step 5 : Kisi bhi five topic ko choose karke follow par click kare.
Step 6 : Ab aapke email par pinterest ki taraph se ek message aaya hoga. Apne gmail account ko open kare aur phir usme aaye hue message me Confirm your email par click kare.
Ab pinterest par account ban chuka hai. Ab aap uska use kar sakte hai.
Pinterest Ka Use Kaise Kare ?
Pinterest ka use karne ke liye sabse pahle aapko ek board create karna padega. Board ko create karne ke baad hi aap kisi bhi image ko pin karke apne board me save kar sakte hai. To ab mai aapko board ko create karne ke liye batlatu hun.
Pinterest Par Board Kaise Create Kare ?
Step 1 :
- Sabse pahle right side me profile ke icon par click kakre jaisa ki upar screenshot me hai.
- Ab ek new page open hoga, usme Create Board ki button par click kare.
Step 2 : Ab ek page open hoga jisme board ke baare me kuchh information fillup karna hai.
- Name : Apna board ka name likhe.
- Description : Board ke baare me kuchh likhe.
- Category : Apna board ka category choose kare.
- Secret : Isme No hi rahne de.
- Collaborators : Apne friends name ya email likh kar search kare aur friends ko apne board me shamil lare.
- Lastly, Create button par click kare.
Ab aapka board bankar ready hai. Isi tarah se aap aur bhi board create kar sakte hai.
Step 3 : Board to aapka ban chuka hai. Ab aapko board me image ya photo ka pin karna hai.
Kisi bhi topic ko likh kar search kare. Uske baad us topic se related saara image aapke samne open ho jaayega. Usme se kisi ek image ko select kar le jo aapko pasand ho. Aap ek baar me ek hi image ko pin kar sakte hai.
Step 4 : Image ko select karne ke baad Save par click kare jaisa ki screenshot me hai. Save ke just right side me ‘heart’ ke sign par click karke like bhi kar skate hai.
Step 5 : Lastly Save par click karke image ko apne board me pin karle. Isi tarah se bahut saare image ko apne board me pin kar sakte hai.
Maine aapko apne hisaab se pinterest ke baare me saari jankari dene ki koshish ki. Isme aur bhi bahut saari jankari dena baaki hai jo ki aap khud se aasani se samajh lenge.
Agar aapko yah post pasand aaya ho to ise facebook, twitter, google plus par share kare. Is blog ke sabhi new post ki notification apne email par pane ke liye subscribe kare.
Agar pinterest account kaise banaye se related aur isse judi aur bhi koi question ho to mujhe comment karke bataye.
Great post Sir Thank you So much 🙂
Great post Sir Thank you So much
thanks for great information
मैने आपका आर्टिकल पढ़ा और मुझे यह काफ़ी अच्छा लगा? आपने इस ऑर्टिकल में पूरी जानकारी दी हैं, जिसे पढ़कर मैंने भीं अपनी साइट पर एक ऑर्टिकल लिखा। क्या आप मेरा आर्टिकल को देख कर बता सकते हैं, की मैने ऑर्टिकल लिखने में क्या गलतियां की हैं। आप से निवेदन हैं, कृपया मेरे मदद करे।