How Create Privacy Policy Page For Blog or Website (Blog Ke Liye Privacy Policy Page Kaise Banaye) : Aaj mai aapko batane jaa raha hu ki privacy policy page kya hai aur ise banana kya jaruri hai. Agar aap online ya offline koi business start karne jaa rahe hai to aapke site par yah page hona bahut jaruri hai.
Agar aap ek blogger hai to aapne ek baat notice ki hogi ki sabhi professional blogger ke paas apna ek privacy policy page hota hai.
Agar aap nahi jante hai ki privacy policy page kaisa hota hai, samajhne ke liye mere blog ka privacy policy page dekhe.
Privacy Policy Page Kya Hai ? (What is Privacy Policy Page in Hindi)
Privacy policy page ek aisa page hota hai jisko sabhi professional blogger apne blog me lagate hai. Is page me blogger ki site ke baare kuchh jaankari hoti hai.
Yah page reader ya visitor ko batlati hai ki blogger apne site par kya-kya information ko share karte hai aur we kin-kin advertisement ka use karte hai.
Yah page hamare site ko cookies se protect karti hai. Matlab yah ki agar koi visitor aapke privacy policy ke rules ko follow kiye bina koi galat comment karta hai to aap uske comment ko delete kar sakte hai.
Privacy Policy Page Banana Kyo Jaruri Hai ?
Google Terms and Condition ke anusaar aapke blog ka ek privacy policy page ka hona bahut jaruri hai kyoki agar aap apne blog par Google adsense ke ads ko lagana chahte hai to uske liye aapko yah page ko banana padega.
Agar aap bina privacy policy page ko banaye Google adsense ke liye apply karte hai to Google ki team aapke apply kiye gaye request ko accept nahi karegi aur aapke blog ka privacy policy page nahi hone ki wajah se disapprove kar degi.
- Disclaimer Page कैसे बनाये Blog के लिए और यह क्यों जरुरी है ?
- Blog के लिए Privacy Policy Page बनाने का सबसे आसान Method
Aur bhi bahut saari aisi company hai jo ki kisi bhi blog ke privacy policy page ko check karti hai.
Privacy Policy Page Kaise Banaye ? (How Create Privacy Policy Page in Hindi)
Privacy policy page ko banana bahut hi easy hai. Agar aapko privacy policy page ke baare me knowledge hai to aap khud se bhi is page ko bana sakte hai.
Agar aapko privacy policy page ko banana nahi aata hai to aapko pareshan hone ki koi jarurat nahi hai. Kyoki bahut saare aise third party ke website hai jo aapke blog ke liye is page ko bana degi .
SerpRank ek third party ka website hai jo ki free me aapke privacy policy page ko bana degi. To ab mai aapko batana start karta hu ki kaise SerpRank ki help se privacy policy page ko apne blog ke liye banate hai.
Aap mere steps ko follow kare :-
Step 1 : Sabse pahle aap SerpRank ki site par jaaye.
Step 2 : Ab ek page open hoga. Usme login aur register ka option hoga. Agar aapka account SerpRank par pahle se bana hua hai to login par click kare nahi to register par.
Step 3 : Select par click kare.
Step 4 : Ab ek new page open hoga. Usme aapko apna naam, password aur email daalkar submit karna hai.
- Apna naam likhe.
- Password daale.
- Phir se wahi password daale.
- Apna email likhe.
- Confirm karne ke liye phir se wahi email ko likhe.
- ‘I agree to the Terms and Condition for Membership‘ par tick kare.
- Submit and Confirm par click kare.
Step 5 : Ab aapka account SerpRank par register ho chuka hai. View Your Membership Account par click kare.
Step 6 : Ab aapka SerpRank account open ho jaayega. Page ko scroll down karke Member Tools Page par jaaye aur us par click kare..
Step 7 : Privacy Policy Generator for Google Adsense Publishers par click kare.
Step 8 : Ab aapke saamne ek form open hoga.
- Apna blog ya webstie ka URL name likhe.
- Apna Email address ko likhe.
- Agar aap cookies ka use karte hai to Yes , we use cookies ko select kare.
- Advertiser Information me Google Adsense par tick kare. Iske alave agar aap apne blog par koi aur bhi advertise ka use karna chahte hai to us par tick kare.
- Create my Privacy Policy par click kare.
Step 9 : Ab aapke blog ya website ke liye privacy policy bankar ready hai.
Pure page ko copy kar le. Ab copy kiye hue privacy policy ko aapko apne blog me add karna hai.
Privacy Policy Page Blog Me Kaise Add Kare ?
Privacy Policy Page ko blog me add karne ke liye aapko ek page create karni hogi aur usme copy kiye hue privacy policy ko paste karke publish karni padegi.
Step 1 : Sabse pahle aap blogger ke dashboard me jaaye. Uske baad
- Pages par click kare.
- New page par click kare.
Step 2 : Ab page editor open hoga.
- Sabse pahle title me Privacy Policy likhe.
- Privacy policy ko aapne jo copy kiya tha usko body me paste kar de.
- Publish par click kare.
Ab aapka privacy policy page ban gaya hai. Ab is page ko aap ya to upar menu me add kare ya phir footer me add kare. Privacy policy page ko footer me add karne ka short tarika batlata hu.
blogger dashboard >> layout >> footer waala Add a Gadget >> pages >> Tick privacy policy >> save
Ab aap new browser me apne blog post ko open karke check kijiye ki footer me privacy policy page add hua hai yaa nahi.
- Contact Form Page को Blogger में कैसे बनाते है ?
- Blog या Website के लिए XML Sitemap कैसे Create करे ?
Agar aapko apne privacy policy page kaise banaye blog ke liye (how create privacy policy page for blog or website se related koi bhi question ho to mujhe comment kar ke bataye. Mai aapki problem ko dur karne ki puri koshish karuga.
Agar aapko yah pasand aaya ho to is post ko facebook, twitter, google + etc jaise social media par share kare. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mera blog ko Subscribe kare.