Blog or Website Ko Google, Bing, Yahoo Aur Yandex Me Submit Kaise Kare

Google world ka sabse jyada use kiya jaane waala search engine hai, lekin kuchh specific country hai jahan par Google ke alava bhi other Search Engine ka use hota hai. Agar aap apne blog ya site par adhik se adhik traffic laane chahte hai to sabhi Search engine me apne blog ko submit kare.

Agar aap apne blog ko Goolge me submit nahi bhi karte hai to Google aapke site ko search engine me kuchh dino ke baad show karne lagta hai prantu iske alava kuchh regional search engine hai jisme site ko show karne ke liye usme submit karna padta hai.

Blog ko Google bing yahoo yandex me submit kaise kare

Aap niche talika ko dekh sakte hai jisme diya hua hai ki kis country se kin-kin search engine ka use kitna percent kiya jaata hai. Agar sabhi country ko target karna chahte hai to apne blog ko sabhi search engine me submit kare.

Search engine list by country

Google ka Global Alexa Rank 1 hai. Yah duniya ka no. 1 search engine hai. Aap talika me dekh sakte hai ki sabse jyada search Google me hi kiya jaata hai.

Bing ka Global Alexa Rank 19 hai. Yahoo, bing network ka hi ek part hai. Pahle Yahoo aur bing dono me apne site ko alga-alag submit karna padta tha prantu ab sirf bing me submit karna padta hai kyoki 2015 se Yahoo ki new site bing hai. Bing me site ko submit karne ke baad aap apne blog ko bing me search kijiye ya phir Yahoo me aapka blog search me aayega.

Yandex ka Alexa me Global Rank 23 hai aur Russia me rank 1 hai. Yandex Russia country ka saabse popular search engine hai . 2015 ke survery ke anusar Russia me 58% search Yandex me hi kiya jaata hai. Aap upar talika me dekh sakte hai.

Blog Ya Website Ko Search Engine Me Submit Kyo Kare ?

Blog ko search engine me submit karna kyo jaruri hai iska simple sa jabab hai ki blog par traffic laane aur adhik income ke liye. Aap soch rahe hoge ki blog ko search engine me submit karne se adhik traffic aur income kaise aayegi. Iska bhi jabab simple hai.

Apne blog ko isme submit karne ke baad aapka blog sabhi search engine me show hone lagega.

Aap adhik se adhik country ke user se connect ho jaayege. Kisi bhi country ka koi bhi users kisi bhi search engine me koi topic ko search karega to wah webpage par show hoga.

Yadi us topic se related post aapke blog par hoga to wah us search engine me show hoga barshate agar aap post me SEO keyword ka use karte hai to.

Jitne adhik users aapke blog par visit karke aapke site par ke ads par click karege utni adhik income aapki hogi. To ab aapko samajh me aa hi gaya hoga ki blog ko sabhi search engine me submit karna kyo jaruri hai.

Aap apne blog ka URL search engine me dalakar check kar sakte hai ki aapka blog (website) search me aa raha hai ki nahi. Aap screenshot me dekh sakte hai ki mera blog search me aa raha hai.

Is tarah se aap sabhi search engine me apne blog ka URL daalkar check kar sakte hai.

You can see that my site is searching in google

Google Me Blog Ya Site Ko Submit Kaise Kare ?

Sabse pahle http://www.google.com/addurl  par click karke is link ke webpage par visit kare. Agar aap apne google account me pahle se login rahege to direct is link ke webpage par visit kar jaayenge nahi to phir aapko gmail se login karna padega.

Blog ka URL daalkar submit kare Google me

  1. Apen blog ka correct URL address daale.
  2. Captcha code correctly bhae.
  3. Submit Request par click kare.

Ab aapke saamne is tarah ka ek message show hoga.

Your request has received and will be processed shortly“.

Read Also :

Bing Me Apne Blog Ko Submit Kaise Kare ?

Sabse pahle aap http://www.bing.com/toolbar/submit-site-url par click kare. Is link par click karne ke baad ek new window open hogi.

Submit blog to bing

  1. Apne blog ka correct  URL address daale.Example :-
    http://newfeatureblog.blogspot.com
    https://newfeatureblog.blogspot.com
    http://www.newfeatureblog.com
  2. Captcha code daale.
  3. Lastly, Submit par click kare.

Yahoo Me blog Ko Submit Kaise Kare ?

Japan me 40% seach yahoo par hi kiya jaata hai. Pahle apne blog ko yahoo search me laane ke liye isme submit karna padta tha prantu 2015 se yahoo ki new site bing hai isliye alag se yahoo me aapko submit karne ki jarurat nahi hai bas bing me hi submit karna hai.

Yandex Me Site Ko Submit Kaise Kare ?

Sabse pahle https://webmaster.yandex.com  par visit kare aur phir username aur password daalkar login kare. Login karne ke liye Yandex Mail par aapka acount bana hona chahiye.

Submit blog to yandex

  1. Plus (+) icon par click kare.
  2. Correct blog URL address likhe.
  3. Add par click kare.

Ab yandex search engine me aapka site submit ho chuka hai.

Read Also :

To dosto aapko mera yah post kaisa laga. Google, bing/yahoo, Yandex me blog or site ko submit karne me koi problem aati hai to mujhe comment me bataye.

Agar yah post aapke liye helpful raha ho to ise social media par share kare. Is blog ke sabhi new post ko direct apne email par pane ke liye subscribe kare.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

5 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *