Is post me Yandex Mail par email account kaise banaye ke bare me baat karege.
Google ki tarah Yandex bhi ek bahut hi popular search engine hai Russian audience ke liye. Yah Google ke jaisa hi users ko bahut saare services ko provide karti hai.
Google ka service, Gmail par jis tarah se aap apna Email ID banate ahi usi tarah se aap Yandex mail par apna Eamil ID free me create kar sakte hai.
Apne Yandex account me login karne ke liye aapko Yandex mail ka Email ID ki jarurat padegi. Yandex mail ki ID se aap thik usi tarah se kisi bhi user ke Email inbox me message send kar sakte hai jis tarah se Gmail ID se karte hai.
Yandex mail ki ID ki jarurat aapko Yandex Search Engine me blog ya site ko add karne aur blog ke sitemap ko Yandex Webmaster Tool me submit karne ke samaya padegi.
Read Also :
- Blog या Site के लिए XML Sitemap कैसे बनाये ?
- Blogger Sitemap को Google Search Console में Submit कैसे करे ?
Yandex Mail Par Email Account Kaise Banaye ?
Yandex mail par ID banana bahut hi easy hai bas aap mere steps ko follow kare :-
Step 1
Sabse pahle aap https://mail.yandex.com par click karke yandex mail ki site par visit kare.
Step 2
Registration par click kare.
Step 3
Ab Yandex mail ka registration page open haga. Usme apna saara information sahi-sahi fill up karke register par click karna hai.
- Apna first name likhe.
- Apna last name likhe.
- Koi unique user name enter kare. Is user name ki jarurat baad me aapko yandex mail ya phir yandex ki other service me login karne ke samaya padegi. Jaise ki maine user name kumar.himanshu2016 choose kiya hai to mera Email ID yandex par kumar.himanshu2016@yandex.com ho jaayega.
- Koi strong password ko enter kare jinko aap yaad rakh sakhe. Is password ko login ke time use karna hai.
- Phir se dubara wahi password enter kare.
- Apna mobile number likhe. Is number ka use aap password recovery ke time kar sakte hai. Aap chahe to aap baad me bhi mobile no. ko apne account me add kar sakte hai. (Agar aapko abhi apna mobile no. nahi add karna hai to ‘I don’t have a mobile phone number’ par click karke apna security question choose kare aur uska answer enter kare. Yah answer aapko yaad rakhna hai aur kisi ko bhi batana nahi hai.)
- Mobile number enter karne ke baad Send Code par click kare. Ab aapke mobile no. par conformation code ka message aayega. Code ko enter karke Conform par click kare.
- Lastly, Register par click kare.
Ab aapka Yandex mail account create ho chuka hai. Ab aap apne account me jaakar jo bacha hua setting hai usko pura kar skate hai. Jaise ki aap apna profile photo isme add kar sakte hai. Apna mobile number, koi other email ko isse connect kar sakte hai.
Agar aap baad me apna yandex mail ka password ya user name bhul jaate hai to aapne jo number aur other email ko connect kiya hai, uske help se phir se password aur user name ko recover kar skate hai.
Aap chahe to apna Yandex account me user name ke place par apna mobile number se hi login kar sakte hai. Uske liye aapko uski setting ko ON karni padegi. Aap yah setting aasani se kar sakte hai.
Read Also :
- Blog या Website को Yandex Webmaster Tool में Add और Verify कैसे करे ?
- Blogger Sitemap को Yandex Webmaster Tool में Add कैसे करे ?
Aapko mera yah post kaisa laga comment ke through bataye. Agar Yandex mail par Email account ko banane me koi problem aati hai mujhe comment kare.
Is post ko apne dosto ke saath social media par share kare. Isi tarah ka aur bhi post padhte rahne ke liye mujhe subscribe kare.