How to download youtube video in hindi : Is post me youtube video download kaise kiya jata hai ke bare me janege. YouTube, Google ki ek service hai jis par daily kitne hi videos ko upload kiya jaata hai. Kisi film ka trailer aur video songs sabse pahle YouTube par hi upload kiya jaata hai.
Prantu YouTube videos me downlaod karne ka option nahi hota hai jiske karan hum log us video ko sirf online hi dekh paate hai prantu download nahi kar paate.
Is post ke through mai aapko bataunga ki youtube video ko kaise download kar sakte hai bina kisi software ke.
YouTube par bahut saare aise videos hote hai jo ki hame bahut pasand aate hai aur ham us video ko baad me bhi dekhna chahte hai. Iske liye ham chahte hai ki video ko kisi file me save kar ke rakh le taaki baad me video ko offline bhi dekh sake prantu aap usko download nahi kar paate hai.
Mai aapko ek aisa trick batanunga jisse ki aap YouTube videos ko bahut hi aasani se download kar lege wo bhi bina kisi software ya app ke. YouTube videos ko bahut saare App ke help se bhi download kiya jaa sakta hai prantu mai aapko bina kisi App ke directly video ko download karne ke liye batanunga.
YouTube Video Me Download Karne Ka Option Kyo Nahi Hota Hai ?
Maan lete hai ki kisi users ne apna personal videos ko banakar ke YouTube par upload kiya. Aisa ho sakta hai ki koi other users us videos me kuchh changing karke uska galat use kare.
Agar kisi other users ke dwara us video ka misuse kiya jaata hai to us video ka owner YouTube ki tema se iska complain karega. Isse bachne ke liye YouTube ki team ne download ka option nahi diya.
Agar kisi new movies ka new video songs release hota hai to usko pahle YouTube par upload kiya jaata hai. Agar koi other user us video ko download karke YoutTube par upload kar deta hai or wah apne ko us video ka owner batlata hai to isse videos ka jo original owner hai, usko bahut nuksan ho sakta hai.
So, video content owners ko protection dene ke liye YouTube videos me download ka option nahi diya jaata hai.
Iske or bhi bahut se karan ho sakte hai jaise ki agar sabhi users original YouTube videos ke owner ke video ko download karke aur isko phir se usme kuchh changing kar upload karke apne aap ko us video ka owner batane lage to isse ek aur problem ho sakti hai, wah yah ki agar koi Google me YouTube video ko search karta hai to wah kabhi bhi original videos ko search nahi kar payega.
Ab mai aapko YouTube videos ko download karne ke baare me batane ja rah hu. Aap YouTube videos ko download karke usko upload nahi kar sakte hai. Isse us video ko copyright videos maana jaayega.
YouTube Video Downlaod Kaise Kare ?
YouTube videos ko downlaod karna bhaut hi simple hai bas aap mere steps ko follow kare :-
Step 1 :
Sabse pahle aap www.youtube.com ki site par jaakar jis video ko download karna chahte hai usko open kare.
Step 2 :
Video ko open hone ke baad sabse upar browser ke address bar ko dekhe. Usme video ka link is tarah ka hoga…
https://www.youtube.com/watch?v=6knJhq1oQi4
Video ka jo link hai usme se aapko https://www. ko remove kar dena hai or phir uske place par ss likhna hai.
Ab link is tarah ka hoga….
ssyoutube.com/watch?v=6knJhq1oQi4
Address bar me video ke link me ss add karne ke baad Enter key press kare.
Note :-
Mobile me YouTube video ka link is tarah ka hoga :-
https://m.youtube.com/watch?v=6knJhq1oQi4
Aapko https://m. ko hatakar uske place par ss add karna hai.
Step 3 :
Enter karne ke baad ek new window open hogi jisme videos ko download karne ka link hoga.
Aap jis quality me video ko download karna chahte hai wah select kare aur phir download button par click kare.
Ab YouTube video download hona start ho jaayega.
Read Also :
To friends aapko yah post kaisa laga comment me bataye. Agar aapko YouTube se video ko download karne me koi problem aati hai to mujhe comment ke through bataye.
Agar aapko yah post pasand aaya ho to is post ko social media par share aur Like kare. Hamare new post ko direct apne Emai par paane ke liye mujhe Subscribe kare.